Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

kar saki kuchh na teri zulf-e-siyah-fam mera

Boom Merathi

kar saki kuchh na teri zulf-e-siyah-fam mera

Boom Merathi

MORE BYBoom Merathi

    kar sakī kuchh na tirī zulf-e-siyāh-fām mirā

    kufr ke saaye meñ baḌhtā rahā islām mirā

    sāqiyā mez pe rahne de abhī jaam mirā

    mast āñkhoñ ne terī kar diyā ulTām mirā

    kyā kahā ne buḌhāpe meñ na le naam mirā

    husn thā ḳhaam tirā ishq nahīñ ḳhaam mirā

    laḌte pahlī nazar jaan tasadduq kar

    ho gayā saath āġhāz ke anjām mirā

    tum agar pyaar se dekho to abhī jā.ūñ

    nigah-e-nāz meñ hai ziist paiġhām mirā

    'būm' chupke se vahīñ de diyā bosa us ne

    kaan meñ jab ye kahā niiñd in.aam mirā

    kar saki kuchh na teri zulf-e-siyah-fam mera

    kufr ke saye mein baDhta raha islam mera

    saqiya mez pe rahne de abhi jam mera

    mast aankhon ne teri kar diya ulTam mera

    kya kaha tu ne buDhape mein na le nam mera

    husn tha KHam tera ishq nahin KHam mera

    laDte hi pahli nazar jaan tasadduq kar di

    ho gaya sath hi aaghaz ke anjam mera

    tum agar pyar se dekho to abhi ji jaun

    nigah-e-naz mein hai zist ka paigham mera

    'bum' chupke se wahin de diya bosa us ne

    kan mein jab ye kaha nind ka inam mera

    Source:

    Intikhab-e-Kalam-e-Boom (Pg. 74)

      • Publisher: Jawahar Book Depot, Meerut
      • Year of Publication: 1980

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now