Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tark ki jaegi muddat ki rifaqat kaise

Shah Akbar Danapuri

tark ki jaegi muddat ki rifaqat kaise

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    tark jā.egī muddat rifāqat kaise

    chhoḌ degī mujhe ai shab-e-furqat kaise

    un se pursish hai mire ḳhuuñ nadāmat mujhe hai

    muñh par ab Daal luuñ dāmān-e-qayāmat kaise

    roz ik taaza sitam roz na.ī ek jafā

    kahte ho lab pe tire aa.ī shikāyat kaise

    ḳhāna-e-dil se kabhī us ne nikāle nahīñ paañv

    marte dam niklegī dekhūñ mirī hasrat kaise

    josh par haiñ vo umangeñ haiñ javānī hai mauj

    dekh kar un ko na lahrā.e tabī.at kaise

    zikr-e-tārīkī-e-qabr aaya ki ye yaad aa.ī

    bhūle dil se shab-e-furqat musībat kaise

    chaal uḌā hai jo terī to falak par hai dimāġh

    naaz ushshāq se kartī hai qayāmat kaise

    apnī nādārī pe kyoñ daaġh lagā.e ne

    te pe rakh chhoḌe haiñ do nuqte ye usrat kaise

    zab.h ke vaqt bhī muñh mujh se vo phere rahe

    dekh letā hai kisī koī sūrat kaise

    shauq phir mujh ko madīne huā ai 'akbar'

    dekhiye hotī hai rauze ziyārat kaise

    tark ki jaegi muddat ki rifaqat kaise

    chhoD degi mujhe tu ai shab-e-furqat kaise

    un se pursish hai mere KHun ki nadamat mujhe hai

    munh par ab Dal lun daman-e-qayamat kaise

    roz ek taza sitam roz nai ek jafa

    kahte ho lab pe tere aai shikayat kaise

    KHana-e-dil se kabhi us ne nikale nahin panw

    marte dam niklegi dekhun meri hasrat kaise

    josh par hain wo umangen hain jawani ki hai mauj

    dekh kar un ko na lahrae tabiat kaise

    zikr-e-tariki-e-qabr aaya ki ye yaad aai

    bhule dil se shab-e-furqat ki musibat kaise

    chaal uDa li hai jo teri to falak par hai dimagh

    naz ushshaq se karti hai qayamat kaise

    apni nadari pe kyon dagh lagae tu ne

    te pe rakh chhoDe hain do nuqte ye usrat kaise

    zabh ke waqt bhi munh mujh se wo phere hi rahe

    dekh leta hai kisi ki koi surat kaise

    shauq phir mujh ko madine ka hua ai 'akbar'

    dekhiye hoti hai rauze ki ziyarat kaise

    Source:

    Tajalliyat-e-Ishq (Pg. 332)

    • Author: Shah Akbar Danapuri
      • Publisher: Matba Shaukat Shahjahani, Agra
      • Year of Publication: 1896
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now