aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tasawwur se kisi ke maine ki hai guftugu barson

Haidar Ali Aatish

tasawwur se kisi ke maine ki hai guftugu barson

Haidar Ali Aatish

MORE BYHaidar Ali Aatish

    tasavvur se kisī ke maiñ ne hai guftugū barsoñ

    rahī hai ek tasvīr-e-ḳhyālī rū-ba-rū barsoñ

    huā mehmān aa kar raat bhar vo sham.a-rū barsoñ

    rahā raushan mire ghar charāġh-e-ārzū barsoñ

    barābar jaan ke rakkhā hai us ko marte marte tak

    hamārī qabr par royā karegī aarzū barsoñ

    chaman meñ ke bhūle se maiñ ḳhasta-dil karāhā thā

    kiyā gul se bulbul shikva-e-dard-e-gulū barsoñ

    agar maiñ ḳhaak bhī hūñgā to 'ātish' gard-bād-āsā

    rakhegī mujh ko sar-gashta kisī justujū barsoñ

    tasawwur se kisi ke main ne ki hai guftugu barson

    rahi hai ek taswir-e-KHyali ru-ba-ru barson

    hua mehman aa kar raat bhar wo shama-ru barson

    raha raushan mere ghar ka charagh-e-arzu barson

    barabar jaan ke rakkha hai us ko marte marte tak

    hamari qabr par roya karegi aarzu barson

    chaman mein ja ke bhule se main KHasta-dil karaha tha

    kiya ki gul se bulbul shikwa-e-dard-e-gulu barson

    agar main KHak bhi hunga to 'atish' gard-baad-asa

    rakhegi mujh ko sar-gashta kisi ki justuju barson

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now