Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tasawwuraat mein inko bula ke dekh liya

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

tasawwuraat mein inko bula ke dekh liya

Abu Mohammad Wasil Bahraichi

MORE BYAbu Mohammad Wasil Bahraichi

    tasavvurāt meñ in ko bulā ke dekh liyā

    zamāne bhar nazar se chhupā ke dekh liyā

    fasāna-e-ġham-e-furqat sunā ke dekh liyā

    unhoñ ne sirf mujhe muskurā ke dekh liyā

    kabhī kisī ne sar-e-tūr ke dekh liyā

    kabhī kisī ne kisī ko bulā ke dekh liyā

    nigāh-e-parda-kushā kamāl kyā kahnā

    jahāñ jahāñ vo chhupe us ne ke dekh liyā

    kahā thā un ko na bulvāo vo na ā.eñge

    hamārī baat na maanī bulā ke dekh liyā

    ye kis ke vāste aañsū bahā.e jaate haiñ

    tumheñ kisī ne jo us vaqt aa ke dekh liyā

    kisī ne bhī na diyā saath marne vaale

    har ik rafīq pe sab kuchh luTā ke dekh liyā

    mizāj-e-husn to ik haal par rahā qaa.em

    luTāne vāloñ ne sab kuchh luTā ke dekh liyā

    ḳhushī baat hai niklī to hasrat-e-dīdār

    karam-navāz ko sab kuchh luTā ke dekh liyā

    rumūz-e-husn junūñ-āshnā rahe varna

    ḳhirad pukārtī jalve ḳhudā ke dekh liyā

    ġhurūr-e-husn ḳhuddāriyāñ ḳhud aa na sakā

    shuā-e-husn ko markaz pe ke dekh liyā

    kabhī na tum ne mizāj-e-dil-e-hazīñ pūchhā

    bas ab muaaf karo aazmā ke dekh liyā

    kahīñ Thikānā nahīñ ham qafas-nasīboñ

    chaman meñ rah ke nasheman banā ke dekh liyā

    vafā-shi.ār vafāoñ se baaz aa na sake

    unhoñ ne ḳhvāb unheñ aazmā ke dekh liyā

    sivā.e aap ke koī na ban sakā apnā

    har ek shaḳhs ko apnā banā ke dekh liyā

    tum aa ga.e dam-e-āḳhir baḌā kiyā ehsāñ

    ḳhatā muaaf jo tum ko bulā ke dekh liyā

    jo dil se aa.e zabāñ par vo raaz raaz kahāñ

    jo rāzdāñ the unheñ bhī batā ke dekh liyā

    janāza dekh ke 'vāsil' ho ga.e betāb

    kafan unhoñ ne bil-āḳhir haTā ke dekh liyā

    tasawwuraat mein in ko bula ke dekh liya

    zamane bhar ki nazar se chhupa ke dekh liya

    fasana-e-gham-e-furqat suna ke dekh liya

    unhon ne sirf mujhe muskura ke dekh liya

    kabhi kisi ne sar-e-tur ja ke dekh liya

    kabhi kisi ne kisi ko bula ke dekh liya

    nigah-e-parda-kusha ka kamal kya kahna

    jahan jahan wo chhupe us ne ja ke dekh liya

    kaha tha un ko na bulwao wo na aaenge

    hamari baat na mani bula ke dekh liya

    ye kis ke waste aansu bahae jate hain

    tumhein kisi ne jo us waqt aa ke dekh liya

    kisi ne bhi na diya sath marne wale ka

    har ek rafiq pe sab kuchh luTa ke dekh liya

    mizaj-e-husn to ek haal par raha qaem

    luTane walon ne sab kuchh luTa ke dekh liya

    KHushi ki baat hai nikli to hasrat-e-didar

    karam-nawaz ko sab kuchh luTa ke dekh liya

    rumuz-e-husn junun-ashna rahe warna

    KHirad pukarti jalwe KHuda ke dekh liya

    ghurur-e-husn ki KHuddariyan KHud aa na saka

    shua-e-husn ko markaz pe la ke dekh liya

    kabhi na tum ne mizaj-e-dil-e-hazin puchha

    bas ab muaf karo aazma ke dekh liya

    kahin Thikana nahin hum qafas-nasibon ka

    chaman mein rah ke nasheman bana ke dekh liya

    wafa-shiar wafaon se baz aa na sake

    unhon ne KHwab unhen aazma ke dekh liya

    siwae aap ke koi na ban saka apna

    har ek shaKHs ko apna bana ke dekh liya

    tum aa gae dam-e-aKHir baDa kiya ehsan

    KHata muaf jo tum ko bula ke dekh liya

    jo dil se aae zaban par wo raaz raaz kahan

    jo raazdan the unhen bhi bata ke dekh liya

    janaza dekh ke 'wasil' ka ho gae betab

    kafan unhon ne bil-aKHir haTa ke dekh liya

    Source:

    Jalwa-e-Haq (Pg. 72)

    • Author: Abu Mohammad vasil
      • Edition: 2000
      • Publisher: Urdu Academy
      • Year of Publication: 2000
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now