aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

har dhaDkan haijaani thi har KHamoshi tufani thi

Jaun Eliya

har dhaDkan haijaani thi har KHamoshi tufani thi

Jaun Eliya

MORE BYJaun Eliya

    har dhaḌkan haijānī thī har ḳhāmoshī tūfānī thī

    phir bhī mohabbat sirf musalsal milne āsānī thī

    jis din us se baat huī thī us din bhī be-kaif thā maiñ

    jis din us ḳhat aayā hai us din bhī vīrānī thī

    jab us ne mujh se ye kahā thā ishq rifāqat to nahīñ

    tab maiñ ne har shaḳhs sūrat mushkil se pahchānī thī

    jis din vo milne aa.ī hai us din rūdād ye hai

    us blouse nāranjī thā us saarī dhānī thī

    uljhan hone lagtī thī mujh ko aksar aur vo yuuñ

    merā mizāj-e-ishq thā shahrī us vafā dahqānī thī

    ab to us ke baare meñ tum jo chāho vo kah Daalo

    vo añgḌā.ī mere kamre tak to baḌī rūhānī thī

    naam pe ham qurbān the us ke lekin phir ye taur huā

    us ko dekh ke ruk jaanā bhī sab se baḌī qurbānī thī

    mujh se bichhaḌ kar bhī vo laḌkī kitnī ḳhush ḳhush rahtī hai

    us laḌkī ne mujh se bichhaḌ kar mar jaane Thānī thī

    ishq hālat kuchh bhī nahīñ thī baat baḌhāne fan thā

    lamhe lā-fānī Thahre the qatroñ tuġhyānī thī

    jis ko ḳhud maiñ ne bhī apnī ruuh irfāñ samjhā thā

    vo to shāyad mere pyāse hoñToñ shaitānī thī

    thā darbār-e-kalāñ bhī us naubat-ḳhāna us thā

    thī mere dil jo raanī amrohe raanī thī

    har dhaDkan haijaani thi har KHamoshi tufani thi

    phir bhi mohabbat sirf musalsal milne ki aasani thi

    jis din us se baat hui thi us din bhi be-kaif tha main

    jis din us ka KHat aaya hai us din bhi virani thi

    jab us ne mujh se ye kaha tha ishq rifaqat hi to nahin

    tab main ne har shaKHs ki surat mushkil se pahchani thi

    jis din wo milne aai hai us din ki rudad ye hai

    us ka blouse naranji tha us ki sari dhani thi

    uljhan si hone lagti thi mujh ko aksar aur wo yun

    mera mizaj-e-ishq tha shahri us ki wafa dahqani thi

    ab to us ke bare mein tum jo chaho wo kah Dalo

    wo angDai mere kamre tak to baDi ruhani thi

    nam pe hum qurban the us ke lekin phir ye taur hua

    us ko dekh ke ruk jaana bhi sab se baDi qurbani thi

    mujh se bichhaD kar bhi wo laDki kitni KHush KHush rahti hai

    us laDki ne mujh se bichhaD kar mar jaane ki Thani thi

    ishq ki haalat kuchh bhi nahin thi baat baDhane ka fan tha

    lamhe la-fani Thahre the qatron ki tughyani thi

    jis ko KHud main ne bhi apni ruh ka irfan samjha tha

    wo to shayad mere pyase honTon ki shaitani thi

    tha darbar-e-kalan bhi us ka naubat-KHana us ka tha

    thi mere dil ki jo rani amrohe ki rani thi

    Source:

    gumaan (Pg. 159)

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now