Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin

Abdul Hamid Adam

tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin

Abdul Hamid Adam

MORE BYAbdul Hamid Adam

    tauba takalluf kaun kare hālāt niyyat Thiik nahīñ

    rahmat irāda bigḌā hai barsāt niyyat Thiik nahīñ

    ai sham.a bachānā dāman ko ismat se mohabbat arzāñ hai

    ālūda-nazar parvānoñ ke jazbāt niyyat Thiik nahīñ

    kal qat.a ta.alluq kar lenā is vaqt to duniyā merī hai

    ye raat qasmeñ jhūTī haiñ ye raat niyyat Thiik nahīñ

    aisā nazar aatā hai jaise ye shai mujhe pāgal kar degī

    thoḌī tavajjoh bar-haq hai bohtāt niyyat Thiik nahīñ

    raftār-e-zamāna lahja saffāk dikhā.ī detā hai

    bar-vaqt koī tadbīr karo āfāt niyyat Thiik nahīñ

    mai-ḳhāne rasm-o-rāh meñ bhī ho jaa.e na shāmil khoT kaheñ

    ḳhuddām fareb-āmāda haiñ ḳhidmāt niyyat Thiik nahīñ

    thoḌā kaḌā gar dil ko karūñ ādāt badal to saktī haiñ

    par asl musībat to ye hai ādāt niyyat Thiik nahīñ

    Dartā huuñ 'adam' phir aaj kahīñ sho.ala na uThe bijlī na gire

    barbat tabī.at uljhī hai naġhmāt niyyat Thiik nahīñ

    tauba ka takalluf kaun kare haalat ki niyyat Thik nahin

    rahmat ka irada bigDa hai barsat ki niyyat Thik nahin

    ai shama bachana daman ko ismat se mohabbat arzan hai

    aaluda-nazar parwanon ke jazbaat ki niyyat Thik nahin

    kal qata talluq kar lena is waqt to duniya meri hai

    ye raat ki qasmen jhuTi hain ye raat ki niyyat Thik nahin

    aisa nazar aata hai jaise ye shai mujhe pagal kar degi

    thoDi si tawajjoh bar-haq hai bohtat ki niyyat Thik nahin

    raftar-e-zamana ka lahja saffak dikhai deta hai

    bar-waqt koi tadbir karo aafat ki niyyat Thik nahin

    mai-KHane ki rasm-o-rah mein bhi ho jae na shamil khoT kahen

    KHuddam fareb-amada hain KHidmat ki niyyat Thik nahin

    thoDa sa kaDa gar dil ko karun aadat badal to sakti hain

    par asl musibat to ye hai aadat ki niyyat Thik nahin

    Darta hun 'adam' phir aaj kahin shoala na uThe bijli na gire

    barbat ki tabiat uljhi hai naghmat ki niyyat Thik nahin

    Source:

    Kulliyat-e-Adm (Pg. 547)

    • Author: Khwaja Mohammad Zakariya
      • Edition: 2009
      • Publisher: Alhamd Publications, Lahore
      • Year of Publication: 2009
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now