aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere gham-KHwar ka mamul KHuda hi jaane

Aasi Faiqi

tere gham-KHwar ka mamul KHuda hi jaane

Aasi Faiqi

MORE BYAasi Faiqi

    tere ġham-ḳhvār ma.amūl ḳhudā jaane

    kis qadar rahtā hai mashġhūl ḳhudā jaane

    ham ne ulfat sabaq sīkhā hai dīvānoñ se

    us bā-qā.edā schōl ḳhudā jaane

    jubba-sā.ī dar-e-jānāñ pe kiyā kartā huuñ

    kis liye kyoñ mirā ma.amūl ḳhudā jaane

    ujḌe gulshan meñ mire dil ke bahāreñ aa.eñ

    dāġh-e-dil ban ga.e kyoñ phuul ḳhudā jaane

    āj-kal ham se vo ḳhā.if haiñ ḳhilāf-e-ādat

    jaane kyā ham se huī bhuul ḳhudā jaane

    dekhte dekhte 'āsī' ne hidāyat

    kis tarah ho gayā maqbūl ḳhudā jaane

    tere gham-KHwar ka mamul KHuda hi jaane

    kis qadar rahta hai mashghul KHuda hi jaane

    hum ne ulfat ka sabaq sikha hai diwanon se

    us ka ba-qaeda school KHuda hi jaane

    jubba-sai dar-e-jaanan pe kiya karta hun

    kis liye kyon mera mamul KHuda hi jaane

    ujDe gulshan mein mere dil ke bahaaren aaen

    dagh-e-dil ban gae kyon phul KHuda hi jaane

    aaj-kal hum se wo KHaif hain KHilaf-e-adat

    jaane kya hum se hui bhul KHuda hi jaane

    dekhte dekhte 'asi' ne hidayat pa li

    kis tarah ho gaya maqbul KHuda hi jaane

    Source:

    Zar-e-Gul (Pg. 101)

    • Author: Aasi Faiqi
      • Publisher: Noorul Hasan Wakil
      • Year of Publication: 1987
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now