Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain

Fana bulandshahri

teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain

Fana bulandshahri

MORE BYFana bulandshahri

    terī nazroñ pe tasadduq aaj ahl-e-hosh haiñ

    jān-e-jāñ terī nigāheñ mai-kada-bar-dosh haiñ

    ishq meñ ahl-e-vafā kitne aziyyat-kosh haiñ

    ḳhuun dil ho rahā hai lab magar ḳhāmosh haiñ

    ai nigāh-e-shauq kis manzil meñ le aa.ī mujhe

    donoñ aalam jalva-gāh-e-yār meñ rū-posh haiñ

    mujh ko tanhā dekhne vaale na samjheñ rāz-e-ishq

    merī tanhā.ī ke lamhe yaar ke āġhosh haiñ

    'sarmad'-o-'mansūr'-o-'shiblī' nazar se dekhiye

    hosh vaale haiñ vahī duniyā meñ jo behosh haiñ

    lan-tarānī sadā par muskurāyā thā koī

    jitne zarre tuur meñ the aaj tak behosh haiñ

    ai 'fanā' bāda-kashī meñ ye unhī hai karam

    un mast āñkhoñ se kar bhī sarāpā hosh haiñ

    teri nazron pe tasadduq aaj ahl-e-hosh hain

    jaan-e-jaan teri nigahen mai-kada-bar-dosh hain

    ishq mein ahl-e-wafa kitne aziyyat-kosh hain

    KHun dil ka ho raha hai lab magar KHamosh hain

    ai nigah-e-shauq kis manzil mein le aai mujhe

    donon aalam jalwa-gah-e-yar mein ru-posh hain

    mujh ko tanha dekhne wale na samjhen raaz-e-ishq

    meri tanhai ke lamhe yar ke aaghosh hain

    'sarmad'-o-'mansur'-o-'shibli' ki nazar se dekhiye

    hosh wale hain wahi duniya mein jo behosh hain

    lan-tarani ki sada par muskuraya tha koi

    jitne zarre tur mein the aaj tak behosh hain

    ai 'fana' baada-kashi mein ye unhi ka hai karam

    un ki mast aankhon se pi kar bhi sarapa hosh hain

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now