Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha bahut be-dard lekin hausla deta raha

Arsh Siddiqui

tha bahut be-dard lekin hausla deta raha

Arsh Siddiqui

MORE BYArsh Siddiqui

    thā bahut be-dard lekin hausla detā rahā

    vo mujhe har shab na.e ghar pata detā rahā

    maiñ use DhūñDā kiyā jismoñ jannat meñ magar

    vo mujhe ḳhvāboñ meñ milne sazā detā rahā

    kab use rukne fursat thī ġhurūr-e-husn meñ

    maiñ ta.āqub meñ ravāñ thā maiñ sadā detā rahā

    jal rahā thā ḳhud be-mā.egī aag meñ

    maiñ isī dāman se sho.aloñ ko havā detā rahā

    garche mohlik thā magar insāf ummīd par

    muddatoñ ik zaḳhm qātil ko sadā detā rahā

    maiñ to is justujū meñ thā guzar aayā magar

    dasht-e-māzī der tak bū-e-vafā detā rahā

    sab se pīchhe rah gayā huuñ 'arsh' yuuñ is dasht meñ

    maiñ safar meñ har kisī ko rāsta detā rahā

    tha bahut be-dard lekin hausla deta raha

    wo mujhe har shab nae ghar ka pata deta raha

    main use DhunDa kiya jismon ki jannat mein magar

    wo mujhe KHwabon mein milne ki saza deta raha

    kab use rukne ki fursat thi ghurur-e-husn mein

    main taaqub mein rawan tha main sada deta raha

    jal raha tha KHud hi be-maegi ki aag mein

    main isi daman se shoalon ko hawa deta raha

    garche mohlik tha magar insaf ki ummid par

    muddaton ek zaKHm qatil ko sada deta raha

    main to is ki justuju mein tha guzar aaya magar

    dasht-e-mazi der tak bu-e-wafa deta raha

    sab se pichhe rah gaya hun 'arsh' yun is dasht mein

    main safar mein har kisi ko rasta deta raha

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now