Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tha pahla safar uski rifaqat bhi nai thi

Farhat Nadeem Humayun

tha pahla safar uski rifaqat bhi nai thi

Farhat Nadeem Humayun

MORE BYFarhat Nadeem Humayun

    thā pahlā safar us rifāqat bhī na.ī thī

    raste bhī kaThin aur masāfat bhī na.ī thī

    dil thā ki kisī taur bhī qaabū meñ nahīñ thā

    rah rah ke dhaḌakne alāmat bhī na.ī thī

    jab us ne kahā thā ki mujhe ishq hai tum se

    āñkhoñ meñ jo aa.ī thī vo hairat bhī na.ī thī

    sadiyoñ ke ta.alluq gumāñ hone lagā thā

    jab ki mirī us shaḳhs se nisbat bhī na.ī thī

    vāqif bhī nahīñ thā maiñ kisī sūd-o-ziyāñ se

    us ishq ke saude meñ shirākat bhī na.ī thī

    ḳhvāboñ ke bikhar jaane dhaḌkā bhī lagā thā

    be-dārī-e-shab mujhe aadat bhī na.ī thī

    ta.abīr kahāñ DhūñDne jātīñ mirī āñkheñ

    un ko to kisī ḳhvāb zahmat bhī na.ī thī

    dil vāqif-e-ādāb-e-mohabbat bhī nahīñ thā

    duniyā ke rivājoñ se baġhāvat bhī na.ī thī

    phir maiñ ki kisī nashe aadī bhī nahīñ thā

    aur mere liye vasl lazzat bhī na.ī thī

    yuuñ kār-e-junūñ karnā ḳhirad-mandoñ meñ rah kar

    jo Daalī thī tum ne vo rivāyat bhī na.ī thī

    tha pahla safar us ki rifaqat bhi nai thi

    raste bhi kaThin aur masafat bhi nai thi

    dil tha ki kisi taur bhi qabu mein nahin tha

    rah rah ke dhaDakne ki alamat bhi nai thi

    jab us ne kaha tha ki mujhe ishq hai tum se

    aankhon mein jo aai thi wo hairat bhi nai thi

    sadiyon ke talluq ka guman hone laga tha

    jab ki meri us shaKHs se nisbat bhi nai thi

    waqif bhi nahin tha main kisi sud-o-ziyan se

    us ishq ke saude mein shirakat bhi nai thi

    KHwabon ke bikhar jaane ka dhaDka bhi laga tha

    be-dari-e-shab ki mujhe aadat bhi nai thi

    tabir kahan DhunDne jatin meri aankhen

    un ko to kisi KHwab ki zahmat bhi nai thi

    dil waqif-e-adab-e-mohabbat bhi nahin tha

    duniya ke riwajon se baghawat bhi nai thi

    phir main ki kisi nashe ka aadi bhi nahin tha

    aur mere liye wasl ki lazzat bhi nai thi

    yun kar-e-junun karna KHirad-mandon mein rah kar

    jo Dali thi tum ne wo riwayat bhi nai thi

    Source:

    Sare Khawab us ke hain (Pg. 56)

    • Author: Farhat Nadeem Humayun
      • Edition: 2010
      • Publisher: Mugals Goup Of Publications
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now