Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Thaharne ko hai basti ke dar-o-diwar par pani

Ghulam Husain Sajid

Thaharne ko hai basti ke dar-o-diwar par pani

Ghulam Husain Sajid

MORE BYGhulam Husain Sajid

    Thaharne ko hai bastī ke dar-o-dīvār par paanī

    ki ab patthar meñ Dhaltī rahī hai mauj-e-hairānī

    ḳhayāl aatā hai shahr-e-ārzū ko chhoḌ dene

    bahut dushvār ho jaatī hai jab bhī koī āsānī

    yaqīñ aayā ki arzāñ hai matā-e-lutf duniyā meñ

    natīja hai adū qadr karne pashemānī

    musalsal baḌh rahā huuñ jāda-e-islām par ab tak

    magar ḳhush aa.egā kis ko mirā turr-e-musalmānī

    vahī sūrat vahī atvār-e-nek-o-bad vahī lahja

    vo pal-bhar meñ kahīñ se DhūñD laayā hai mirā saanī

    mire sheroñ meñ bahtā hai samundar mere virse

    ki maiñ gulshan-tarāz-e-rañg-e-sohbāñ huuñ na ḳhāqānī

    judā.ī kasak miT jā.egī 'sājid' mire dil se

    agar pahchān le baḌh kar mujhe vo dilbar-e-jānī

    Thaharne ko hai basti ke dar-o-diwar par pani

    ki ab patthar mein Dhalti ja rahi hai mauj-e-hairani

    KHayal aata hai shahr-e-arzu ko chhoD dene ka

    bahut dushwar ho jati hai jab bhi koi aasani

    yaqin aaya ki arzan hai mata-e-lutf duniya mein

    natija hai adu ki qadr karne ka pashemani

    musalsal baDh raha hun jada-e-islam par ab tak

    magar KHush aaega kis ko mera turr-e-musalmani

    wahi surat wahi atwar-e-nek-o-bad wahi lahja

    wo pal-bhar mein kahin se DhunD laya hai mera sani

    mere sheron mein bahta hai samundar mere wirse ka

    ki main gulshan-taraaz-e-rang-e-sohban hun na KHaqani

    judai ki kasak miT jaegi 'sajid' mere dil se

    agar pahchan le baDh kar mujhe wo dilbar-e-jaani

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now