Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

the daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae

Khawar Rizvi

the daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae

Khawar Rizvi

MORE BYKhawar Rizvi

    the dāman-e-hayāt pe ik daaġh ham, ga.e

    lekin ye kyā huā tirī zulfoñ ke ḳham ga.e

    ik ehtijāj se haiñ ibārat hayāt-o-maut

    rote hue jo aa.e to bā-chashm-e-nam ga.e

    tai kar sakā na vus.at-e-dasht-e-vafā koī

    da.ave jinheñ bahut the qadam-do-qadam ga.e

    kuchh der khelte rahe mauj-e-balā se ham

    kuchh duur saath saath vajūd-o-adam ga.e

    Thahre hue haiñ barg-e-ḳhizāñ-dīda tarah

    sankī havā zarā bhī to samjho ki ham ga.e

    ye mājrā hai kyā ki zamīñ Dolne lagī

    ye kyā huā ki chalte hue log tham ga.e

    the daman-e-hayat pe ek dagh ham, gae

    lekin ye kya hua teri zulfon ke KHam gae

    ek ehtijaj se hain ibarat hayat-o-maut

    rote hue jo aae to ba-chashm-e-nam gae

    tai kar saka na wusat-e-dasht-e-wafa koi

    dawe jinhen bahut the qadam-do-qadam gae

    kuchh der khelte rahe mauj-e-bala se hum

    kuchh dur sath sath wajud-o-adam gae

    Thahre hue hain barg-e-KHizan-dida ki tarah

    sanki hawa zara bhi to samjho ki hum gae

    ye majra hai kya ki zamin Dolne lagi

    ye kya hua ki chalte hue log tham gae

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 942)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now