Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

thoDi si income ki KHatir be-chaaron ko mar diya

Khalid Irfan

thoDi si income ki KHatir be-chaaron ko mar diya

Khalid Irfan

MORE BYKhalid Irfan

    thoḌī income ḳhātir be-chāroñ ko maar diyā

    chand DākTroñ haḌtāloñ ne bīmāroñ ko maar diyā

    america meñ T-V-chanel chupke se dar aa.e the

    chal nikle to urdu ke sab aḳhbāroñ ko maar diyā

    abbā-jī ke business se har beTe ne muñh pher liyā

    kursī lālach ne kitne lohāroñ ko maar diyā

    har taalī par note nichhāvar har lai par london ticket

    ''lālū-khet'' ke qavvāloñ ne fankāroñ ko maar diyā

    masnūī bāloñ thappaḌ kaafī bhārī hotā hai

    us zulfoñ ne hil hil ke ruḳhsāroñ ko maar diyā

    ek vazīr-e-āzam hai ik bhaa.ī vazīr-e-ālā hai

    jamhūrī dāvedāroñ ne haq-dāroñ ko maar diyā

    maġhrib tahzīb hamla ab ke itnā kaarī hai

    jeans ko sastā kar ke us ne shalvāroñ ko maar diyā

    jitne bhī dil-pheñk the shā.er U-S meñ ābād hue

    night-kalboñ raunaq ne bechāroñ ko maar diyā

    mazdūrī par jaatā huuñ to sher sisakte rahte haiñ

    dollar ḳhvāhish ne mere fan-pāroñ ko maar diyā

    thoDi si income ki KHatir be-chaaron ko mar diya

    chand DakTron ki haDtalon ne bimaron ko mar diya

    america mein T-V-chanel chupke se dar aae the

    chal nikle to urdu ke sab aKHbaron ko mar diya

    abba-ji ke business se har beTe ne munh pher liya

    kursi ki lalach ne kitne lohaaron ko mar diya

    har tali par note nichhawar har lai par london ka ticket

    lalu-khet ke qawwalon ne fankaron ko mar diya

    masnui baalon ka thappaD kafi bhaari hota hai

    us ki zulfon ne hil hil ke ruKHsaron ko mar diya

    ek wazir-e-azam hai ek bhai wazir-e-ala hai

    jamhuri dawedaron ne haq-daron ko mar diya

    maghrib ki tahzib ka hamla ab ke itna kari hai

    jeans ko sasta kar ke us ne shalwaron ko mar diya

    jitne bhi dil-phenk the shaer U-S mein aabaad hue

    night-kalbon ki raunaq ne bechaaron ko mar diya

    mazduri par jata hun to sher sisakte rahte hain

    dollar ki KHwahish ne mere fan-paron ko mar diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now