tir-andazon ko andaza nahin

Absar Abdul Ali

tir-andazon ko andaza nahin

Absar Abdul Ali

MORE BYAbsar Abdul Ali

  tīr-andāzoñ ko andāza nahīñ

  zad meñ aanā thā jise aayā nahīñ

  kuchh tasavvur kuchh tavaqqo kuchh gumāñ

  ye bhī kyā ḳhvāboñ ḳhamyāza nahīñ

  saarī bastī meñ faqat ik terī zaat

  qibla-o-ka.aba sahī ka.aba nahīñ

  jis havā meñ hai āqā-e-chaman

  koī bhī jhoñkā vahāñ taaza nahīñ

  dhuul ā.ankhoñ meñ hotī nahīñ

  paañv meñ lagtā kabhī surma nahīñ

  hai khaḌā sāhil pe lahroñ se pare

  paar jaane par vo āmāda nahīñ

  chāhtā hai jo taz.īn-e-vafā

  phuul kāñToñ gul-dasta nahīñ

  apne dil meñ aap rahtā hai vo

  dūsrā kyā us meñ rah saktā nahīñ

  āsmāñ ḳhāmosh ho aur log chup

  der tak ye silsila chaltā nahīñ

  tir-andazon ko andaza nahin

  zad mein aana tha jise aaya nahin

  kuchh tasawwur kuchh tawaqqo kuchh guman

  ye bhi kya KHwabon ka KHamyaza nahin

  sari basti mein faqat ek teri zat

  qibla-o-kaba sahi kaba nahin

  jis hawa mein tu hai aaqa-e-chaman

  koi bhi jhonka wahan taza nahin

  dhul ki aaankhon mein ja hoti nahin

  panw mein lagta kabhi surma nahin

  hai khaDa sahil pe lahron se pare

  par jaane par wo aamada nahin

  chahta hai tu jo tazin-e-wafa

  phul la kanTon ka gul-dasta nahin

  apne dil mein aap hi rahta hai wo

  dusra kya us mein rah sakta nahin

  aasman KHamosh ho aur log chup

  der tak ye silsila chalta nahin

  Source :
  • Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 105)
  • Author : Siddiqah Begum
  • Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012)
  • Edition : 2012
  0
  COMMENTS
  VIEW COMMENTS

  Additional information available

  Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

  OKAY

  About this sher

  Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

  Close

  rare Unpublished content

  This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

  OKAY

  Jashn-e-Rekhta | 2-3-4 December 2022 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate, New Delhi

  GET YOUR FREE PASS
  Speak Now