aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tilism KHatm chalo aah-e-be-asar ka hua

Shahryar

tilism KHatm chalo aah-e-be-asar ka hua

Shahryar

MORE BYShahryar

    tilism ḳhatm chalo āh-e-be-asar huā

    vo dekho jism barahna har ik shajar huā

    sunā.ūñ kaise ki sūraj zad meñ haiñ sab log

    jo haal raat ko parchhā.iyoñ ke ghar huā

    sadā ke saa.e meñ sannāToñ ko panāh milī

    ajab ki shahr meñ charchā na is ḳhabar huā

    ḳhalā dhund āñkhoñ pe mehrbān rahī

    harīf koī ufuq kab mirī nazar huā

    maiñ sochtā huuñ magar yaad kuchh nahīñ aatā

    ki iḳhtitām kahāñ ḳhvāb ke safar huā

    tilism KHatm chalo aah-e-be-asar ka hua

    wo dekho jism barahna har ek shajar ka hua

    sunaun kaise ki suraj ki zad mein hain sab log

    jo haal raat ko parchhaiyon ke ghar ka hua

    sada ke sae mein sannaTon ko panah mili

    ajab ki shahr mein charcha na is KHabar ka hua

    KHala ki dhund hi aankhon pe mehrban rahi

    harif koi ufuq kab meri nazar ka hua

    main sochta hun magar yaad kuchh nahin aata

    ki iKHtitam kahan KHwab ke safar ka hua

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    tilism KHatm chalo aah-e-be-asar ka hua Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now