Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera KHayal bahut der tak nahin rahta

Noon Meem Danish

tera KHayal bahut der tak nahin rahta

Noon Meem Danish

MORE BYNoon Meem Danish

    tirā ḳhayāl bahut der tak nahīñ rahtā

    koī malāl bahut der tak nahīñ rahtā

    udaas kartī hai aksar tumhārī yaad mujhe

    magar ye haal bahut der tak nahīñ rahtā

    maiñ reza reza to hotā huuñ har shikast ke ba.ad

    magar niDhāl bahut der tak nahīñ rahtā

    javāb mil to jaatā hai ek chup na ho

    koī savāl bahut der tak nahīñ rahtā

    maiñ jāntā huuñ ki sūraj huuñ Duub jā.ūñ bhī to

    mujhe zavāl bahut der tak nahīñ rahtā

    tera KHayal bahut der tak nahin rahta

    koi malal bahut der tak nahin rahta

    udas karti hai aksar tumhaari yaad mujhe

    magar ye haal bahut der tak nahin rahta

    main reza reza to hota hun har shikast ke baad

    magar niDhaal bahut der tak nahin rahta

    jawab mil hi to jata hai ek chup hi na ho

    koi sawal bahut der tak nahin rahta

    main jaanta hun ki suraj hun Dub jaun bhi to

    mujhe zawal bahut der tak nahin rahta

    Source:

    Bache, Titli, Phool (Pg. 52)

    • Author: Noon Meem Danish
      • Publisher: Fazlee sons Pvt. Ltd., Karachi
      • Year of Publication: 1997
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now