aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tera lutf aatish-e-shauq ko had-e-zindagi se baDha na de

Anand Narayan Mulla

tera lutf aatish-e-shauq ko had-e-zindagi se baDha na de

Anand Narayan Mulla

MORE BYAnand Narayan Mulla

    Interesting Fact

    August 1948

    tirā lutf ātish-e-shauq ko had-e-zindagī se baḌhā na de

    kahīñ bujh na jaa.e charāġh use dekh itnī havā na de

    tirā ġham hai daulat-e-dil tirī use āñsuoñ meñ luTā na de

    vahī aah naqd-e-hayāt hai jise lab pe ke gañvā na de

    mirī zindagī haqīqatoñ ko na pūñchh aur maiñ kyā kahūñ

    mirā dost aaj vahī hai jo mujhe zindagī duā na de

    yahī zindagī ne sabaq diyā ki kabhī fareb-e-karam na khā

    ye umiid rakh na kisī se ki miTā sake to miTā na de

    mujh ġham de na ḳhushī sahī na karam sahī to sitam sahī

    magar itnā kam bhī karam na ho ki tirā sitam bhī mazā na de

    mire dil ḳhud ye majāl thī ki vo shām-e-ġham ko sahar kare

    tirī yaad aa ke ghaḌī ghaḌī agar āñsuoñ ko hañsā na de

    tire dil pe haq hai jahāñ bhī ye farār-e-ishq ravā nahīñ

    ġham-dost ḳhuub hai jab talak ġham-e-zindagī ko bhulā na de

    vo ḳhudā-e-husn kyuuñ na ho koī shai hai ġhairat-e-ishq bhī

    jo tirī sadā pe khule na dar vo khule bhī jab to sadā na de

    mire dushmanoñ ke laboñ pe thī jo hañsī vo 'mullā' ab uḌ chalī

    unheñ Dar hai ab yahī ġham mirā mirī zindagī ko banā na de

    tera lutf aatish-e-shauq ko had-e-zindagi se baDha na de

    kahin bujh na jae charagh hi use dekh itni hawa na de

    tera gham hai daulat-e-dil teri use aansuon mein luTa na de

    wahi aah naqd-e-hayat hai jise lab pe la ke ganwa na de

    meri zindagi ki haqiqaton ko na punchh aur main kya kahun

    mera dost aaj wahi hai jo mujhe zindagi ki dua na de

    yahi zindagi ne sabaq diya ki kabhi fareb-e-karam na kha

    ye umid rakh na kisi se tu ki miTa sake to miTa na de

    mujh gham hi de na KHushi sahi na karam sahi to sitam sahi

    magar itna kam bhi karam na ho ki tera sitam bhi maza na de

    mere dil ki KHud ye majal thi ki wo sham-e-gham ko sahar kare

    teri yaad aa ke ghaDi ghaDi agar aansuon ko hansa na de

    tere dil pe haq hai jahan ka bhi ye farar-e-ishq rawa nahin

    gham-dost KHub hai jab talak gham-e-zindagi ko bhula na de

    wo KHuda-e-husn hi kyun na ho koi shai hai ghairat-e-ishq bhi

    jo teri sada pe khule na dar wo khule bhi jab to sada na de

    mere dushmanon ke labon pe thi jo hansi wo 'mulla' ab uD chali

    unhen Dar hai ab yahi gham mera meri zindagi ko bana na de

    Source:

    Kulliyat-e-Anand Narayan Mulla (Pg. 327)

    • Author: Khaliq Anjum
      • Edition: 2010
      • Publisher: National Council for Promotion of Urdu Language-NCPUL
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now