tere bichhaDne se TuTa hai wasta dil ka
tire bichhaḌne se TuuTā hai vāsta dil kā
adhūrā rah gayā haa.e ye silsila dil kā
lagī hai aag mire dil meñ tere jaane se
zarā sī der meñ hī qāfila luTā dil kā
qadam qadam pe mire saath hī vo rahtā thā
bhañvar meñ chhoḌ gayā hai jo nā-ḳhudā dil kā
maiñ dekh letī huuñ phir us meñ aap kī sūrat
chamakne lagtā hai jab bhī ye aa.ina dil kā
ujāle phail hī jā.eñge phir mohabbat ke
jalā.ūñgī maiñ tirī bazm meñ diyā dil kā
ye naqd hotā hai saudā kabhī udhār nahīñ
mohabbatoñ meñ hai lāzim tabādala dil kā
ḳhirad kī baat bhī suntī to huuñ magar 'mehrū'
maiñ maan letī huuñ chup-chāp faisla dil kā
tere bichhaDne se TuTa hai wasta dil ka
adhura rah gaya hae ye silsila dil ka
lagi hai aag mere dil mein tere jaane se
zara si der mein hi qafila luTa dil ka
qadam qadam pe mere sath hi wo rahta tha
bhanwar mein chhoD gaya hai jo na-KHuda dil ka
main dekh leti hun phir us mein aap ki surat
chamakne lagta hai jab bhi ye aaina dil ka
ujale phail hi jaenge phir mohabbat ke
jalaungi main teri bazm mein diya dil ka
ye naqd hota hai sauda kabhi udhaar nahin
mohabbaton mein hai lazim tabaadala dil ka
KHirad ki baat bhi sunti to hun magar 'mehru'
main man leti hun chup-chap faisla dil ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.