Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tere sawal ka tanha jawab main hi tha

Shakeel Azmi

tere sawal ka tanha jawab main hi tha

Shakeel Azmi

MORE BYShakeel Azmi

    tire savāl tanhā javāb maiñ thā

    nigāh-e-nāz tirā intiḳhāb maiñ thā

    mire ḳhuun se zehnoñ barf pighlī hai

    lahūluhān pas-e-inqalāb maiñ thā

    ye aur baat ki ab mujhe na pahchāne

    guzishta shab tirī āñkhoñ ḳhvāb maiñ thā

    mire sivā bhī ka.ī aur moḌ the lekin

    tire fasāne lubb-e-lubāb maiñ thā

    mire vajūd se raushan thiiñ hasrateñ terī

    tire falak kabhī āftāb maiñ thā

    ye merī ḳhāna-badoshī mirā nasīb na thī

    ḳhud apnī zaat ḳhātir azaab maiñ thā

    sabhī ke jism pe achchhā.ī thī muhr 'shakīl'

    is anjuman meñ akelā ḳharāb maiñ thā

    tere sawal ka tanha jawab main hi tha

    nigah-e-naz tera intiKHab main hi tha

    mere hi KHun se zehnon ki barf pighli hai

    lahuluhan pas-e-inqalab main hi tha

    ye aur baat ki ab tu mujhe na pahchane

    guzishta shab teri aankhon ka KHwab main hi tha

    mere siwa bhi kai aur moD the lekin

    tere fasane ka lubb-e-lubab main hi tha

    mere wajud se raushan thin hasraten teri

    tere falak ka kabhi aaftab main hi tha

    ye meri KHana-badoshi mera nasib na thi

    KHud apni zat ki KHatir azab main hi tha

    sabhi ke jism pe achchhai ki thi muhr 'shakil'

    is anjuman mein akela KHarab main hi tha

    Source:

    Dhoop Dariya (Pg. 28)

    • Author: Shakeel Azmi
      • Publisher: Jawaz Publications, Malegaon
      • Year of Publication: 1996
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now