Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri bhuwan ki tegh jab aai nazar mujhe

Shaikh Zahuruddin Hatim

teri bhuwan ki tegh jab aai nazar mujhe

Shaikh Zahuruddin Hatim

MORE BYShaikh Zahuruddin Hatim

    tirī bhuvāñ teġh jab aa.ī nazar mujhe

    karnā huā zarūr miyāñ tark-e-sar mujhe

    zīnat hai āshiqoñ ko lab-e-ḳhushk o chashm-e-tar

    hāsil huī hai saltanat-e-bahr-o-bar mujhe

    bārīk-bīñ huuñ mujh se kaho us miyāñ baat

    rahtā hai bas-ki dil meñ ḳhayāl-e-kamar mujhe

    be-ḳhud huuñ is qadar ki nahīñ dil ko shauq-e-mai

    us mast ki nigah huā hai asar mujhe

    maiñ koh o dasht ek qadam meñ kiyā hai tai

    majnūñ o kohkan nahīñ kuchh ḳhabar mujhe

    jab sīm-bar ke ġham se huā rañg juuñ talā

    tab sab ne aziiz kiyā misl-e-zar mujhe

    'hātim' huā huuñ āl-e-nabī panāh meñ

    duniyā o diiñ ke ġham se nahīñ kuchh ḳhatar mujhe

    teri bhuwan ki tegh jab aai nazar mujhe

    karna hua zarur miyan tark-e-sar mujhe

    zinat hai aashiqon ko lab-e-KHushk o chashm-e-tar

    hasil hui hai saltanat-e-bahr-o-bar mujhe

    barik-bin hun mujh se kaho us miyan ki baat

    rahta hai bas-ki dil mein KHayal-e-kamar mujhe

    be-KHud hun is qadar ki nahin dil ko shauq-e-mai

    us mast ki nigah ka hua hai asar mujhe

    main koh o dasht ek qadam mein kiya hai tai

    majnun o kohkan ki nahin kuchh KHabar mujhe

    jab sim-bar ke gham se hua rang jun tala

    tab sab ne ja aziz kiya misl-e-zar mujhe

    'hatim' hua hun aal-e-nabi ki panah mein

    duniya o din ke gham se nahin kuchh KHatar mujhe

    Source:

    Diwan-e-Zadah (Pg. 356)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now