Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri hawas mein jo dil se puchha nikal ke ghar se kidhar ko chaliye

Agha Hajju Sharaf

teri hawas mein jo dil se puchha nikal ke ghar se kidhar ko chaliye

Agha Hajju Sharaf

MORE BYAgha Hajju Sharaf

    tirī havas meñ jo dil se pūchhā nikal ke ghar se kidhar ko chaliye

    taḌap ke bolā jidhar vo nikle shitāb usī rahguzar ko chaliye

    na chāhiye kuchh adam ko le kar nikaliye hastī se jaan de kar

    safar jo liije rah-e-ḳhudā meñ luTā ke zād-e-safar ko chaliye

    azal se us aasrā hai jo dene vaalā murādoñ hai

    barā.e-fil-faur umīd-e-dil ko jo chūmne us ke dar ko chaliye

    idhar to taqdīr so rahī hai udhar vo nābūd ho rahī hai

    visāl shab ko ro jo chukiye to rone sham-e-sahar ko chaliye

    jo haath ik phuul ko lagā.eñ yaqīñ hai kāñToñ meñ khīñche jaa.eñ

    hamāre haq meñ vo hove hanzal jo nosh karne samar ko chaliye

    ajiib mushkil hai aah ai dil kaThin hai bīm-o-rajā manzil

    qadam qadam par ye sochte haiñ kidhar na chaliye kidhar ko chaliye

    tirī judā.ī meñ jān-e-ālam kiyā hai donoñ ko ġham ne be-dam

    banā.iye ke dil turbat ki dafn karne jigar ko chaliye

    huā hai vo shauq-e-dīd-bāzī ki samjheñ is ko bhī sarfarāzī

    bulā.eñ āñkheñ vo phoḌne ko to nazr karne nazar ko chaliye

    visāl shab guzar ga.ī hai jo aarzū thī vo mar ga.ī hai

    hameñ to hichkī lagī huī hai vo fikr meñ haiñ ki ghar ko chaliye

    ye qaaf se qaaf tak hai shohrat kareñge vo imtihān-e-vahshat

    junūñ aalam ye kah rahā hai yahīñ se Takrāte sar ko chaliye

    jo sub.h-e-pīrī huī huvaidā sadā adam se huī ye paidā

    namāz paḌh ke na ab Thahariye savere kasiye kamar ko chaliye

    luTā hai gulshan meñ āshiyāna kahīñ hamārā nahīñ Thikānā

    qafas se chhuT kar bhaḌak rahe haiñ ki tinke chunane kidhar ko chaliye

    kamī na dard-e-jigar meñ hogī ye ham se aisī ne guftugū

    davā ko phir DhūñDiyegā pahle talāsh karne asar ko chaliye

    hamesha har saañs ne hamārī shab-e-judā.ī meñ aarzū

    kisī tarah se tire chaman meñ nasīm ho kar sahar ko chaliye

    charāġh-e-bazm-e-ḳhudā huā hai ḳhudā ne mahbūb use kahā hai

    ye shaam se lau lagī hai dil ko ki dekhne us bashar ko chaliye

    hamārā aañsū vo be-bahā hai nigāh-e-hasrat meñ jach rahā hai

    mañgā ke ab us pe chaurahe meñ nisār karne guhar ko chaliye

    sū-e-falak kiije rū-e-tābāñ ki chaudhvīñ shab pe hai ye nāzāñ

    dikhā ke husn-e-shabāb apnā chakor karne qamar ko chaliye

    kisī tarah se na hone paa.e hamāre nāloñ faash parda

    agarche shor-e-fuġhāñ apne sharīk karne gajar ko chaliye

    'sharaf' jo ham un pe jaan deñge ḳhabar hamārī lahad meñ leñge

    hilā ke shāna jalā ke ham ko kaheñge uThiye bhī ghar ko chaliye

    teri hawas mein jo dil se puchha nikal ke ghar se kidhar ko chaliye

    taDap ke bola jidhar wo nikle shitab usi rahguzar ko chaliye

    na chahiye kuchh adam ko le kar nikaliye hasti se jaan de kar

    safar jo lije rah-e-KHuda mein luTa ke zad-e-safar ko chaliye

    azal se us ka hi aasra hai jo dene wala muradon ka hai

    barae-fil-faur umid-e-dil ko jo chumne us ke dar ko chaliye

    idhar to taqdir so rahi hai udhar wo nabud ho rahi hai

    visal ki shab ko ro jo chukiye to rone sham-e-sahar ko chaliye

    jo hath ek phul ko lagaen yaqin hai kanTon mein khinche jaen

    hamare haq mein wo howe hanzal jo nosh karne samar ko chaliye

    ajib mushkil hai aah ai dil kaThin hai bim-o-raja ki manzil

    qadam qadam par ye sochte hain kidhar na chaliye kidhar ko chaliye

    teri judai mein jaan-e-alam kiya hai donon ko gham ne be-dam

    banaiye ja ke dil ki turbat ki dafn karne jigar ko chaliye

    hua hai wo shauq-e-did-bazi ki samjhen is ko bhi sarfaraazi

    bulaen aankhen wo phoDne ko to nazr karne nazar ko chaliye

    visal ki shab guzar gai hai jo aarzu thi wo mar gai hai

    hamein to hichki lagi hui hai wo fikr mein hain ki ghar ko chaliye

    ye qaf se qaf tak hai shohrat karenge wo imtihan-e-wahshat

    junun ka aalam ye kah raha hai yahin se Takraate sar ko chaliye

    jo subh-e-piri hui huwaida sada adam se hui ye paida

    namaz paDh ke na ab Thahariye sawere kasiye kamar ko chaliye

    luTa hai gulshan mein aashiyana kahin hamara nahin Thikana

    qafas se chhuT kar bhaDak rahe hain ki tinke chunane kidhar ko chaliye

    kami na dard-e-jigar mein hogi ye hum se aisi ne guftugu ki

    dawa ko phir DhunDiyega pahle talash karne asar ko chaliye

    hamesha har sans ne hamari shab-e-judai mein aarzu ki

    kisi tarah se tere chaman mein nasim ho kar sahar ko chaliye

    charagh-e-bazm-e-KHuda hua hai KHuda ne mahbub use kaha hai

    ye sham se lau lagi hai dil ko ki dekhne us bashar ko chaliye

    hamara aansu wo be-baha hai nigah-e-hasrat mein jach raha hai

    manga ke ab us pe chaurahe mein nisar karne guhar ko chaliye

    su-e-falak kije ru-e-taban ki chaudhwin shab pe hai ye nazan

    dikha ke husn-e-shabab apna chakor karne qamar ko chaliye

    kisi tarah se na hone pae hamare nalon ka fash parda

    agarche shor-e-fughan ka apne sharik karne gajar ko chaliye

    'sharaf' jo hum un pe jaan denge KHabar hamari lahad mein lenge

    hila ke shana jala ke hum ko kahenge uThiye bhi ghar ko chaliye

    Source:

    Deewan-e-Sharf(Rekhta Website) (Pg. 316)

    • Author: Agha Hajju Sharaf
      • Publisher: Matba Jafari, Luckhnow
      • Year of Publication: 1875
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now