Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri shabih ko likkha hai rang-o-bu maine

Ahtamam Sadiq

teri shabih ko likkha hai rang-o-bu maine

Ahtamam Sadiq

MORE BYAhtamam Sadiq

    tirī shabīh ko likkhā hai rañg-o-bū maiñ ne

    guloñ aise bachā hai aabrū maiñ ne

    kitāb-e-zīst pe hai lafz-e-nā-shanāsā.ī

    magar ye kyā ki likhā tum ko aaj maiñ ne

    mujhī meñ rah ke vo ab tak nahīñ milā mujh ko

    ki ek umr se jis justujū maiñ ne

    raheñge chain se ab dard maiñ mohabbat ġham

    tumhārī dil se miTā hai aarzū maiñ ne

    jo mere lahje meñ ab bhī ḳhumār hai 'sādiq'

    kisī se ḳhvāb meñ kar thī guftugū maiñ ne

    teri shabih ko likkha hai rang-o-bu main ne

    gulon ki aise bacha li hai aabru main ne

    kitab-e-zist pe hai lafz-e-na-shanasai

    magar ye kya ki likha tum ko aaj tu main ne

    mujhi mein rah ke wo ab tak nahin mila mujh ko

    ki ek umr se ki jis ki justuju main ne

    rahenge chain se ab dard main mohabbat gham

    tumhaari dil se miTa di hai aarzu main ne

    jo mere lahje mein ab bhi KHumar hai 'sadiq'

    kisi se KHwab mein kar li thi guftugu main ne

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now