aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

teri talash to kya teri aas bhi na rahe

Shahzad Ahmad

teri talash to kya teri aas bhi na rahe

Shahzad Ahmad

MORE BYShahzad Ahmad

    tirī talāsh to kyā terī aas bhī na rahe

    ajab nahīñ ki kisī din ye pyaas bhī na rahe

    har ek samt ḳhalā ḳhalā nazar aa.eñ

    ḳharāba-e-dil-e-vīrāñ meñ yaas bhī na rahe

    ġham-e-firāq talḳhī vo dasht hai ki jahāñ

    koī qarīb to kyā ās-pās bhī na rahe

    tirā ḳhayāl par tol kar uḌā le jaa.e

    koī umiid sharīk-e-havās bhī na rahe

    tamām rañg hai ḳhushbū tamām ḳhushbū rañg

    guloñ se rañg uḌā leñ to baas bhī na rahe

    luTā hai qāfila-e-āgahī do-rāhe par

    zamāna-sāz to kyā ḳhud-shanās bhī na rahe

    kisī tarīq se 'shahzād' dil ko samjhā leñ

    na muskurā.e magar yuuñ udaas bhī na rahe

    teri talash to kya teri aas bhi na rahe

    ajab nahin ki kisi din ye pyas bhi na rahe

    har ek samt KHala hi KHala nazar aaen

    KHaraba-e-dil-e-viran mein yas bhi na rahe

    gham-e-firaq ki talKHi wo dasht hai ki jahan

    koi qarib to kya aas-pas bhi na rahe

    tera KHayal hi par tol kar uDa le jae

    koi umid sharik-e-hawas bhi na rahe

    tamam rang hai KHushbu tamam KHushbu rang

    gulon se rang uDa len to bas bhi na rahe

    luTa hai qafila-e-agahi do-rahe par

    zamana-saz to kya KHud-shanas bhi na rahe

    kisi tariq se 'shahzad' dil ko samjha len

    na muskurae magar yun udas bhi na rahe

    Source:

    Deewar pe dastak (Pg. 201)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now