Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tujhko bataen kis tarah, baiThe hain kaise haal mein

Rana Amir Liyaqat

tujhko bataen kis tarah, baiThe hain kaise haal mein

Rana Amir Liyaqat

MORE BYRana Amir Liyaqat

    tujh ko batā.eñ kis tarah, baiThe haiñ kaise haal meñ

    duniyā meñ aisā kyā hai jo, aatā nahīñ vabāl meñ

    DhūñDte phir rahe haiñ ham aise shikārī haath ko

    arz o samā vus'ateñ qaid hoñ jis ke jaal meñ

    pahle vo merā ḳhvāb thā ab to maiñ us ḳhvāb huuñ

    mujh ko batā ai zindagī! kaun hai kis chaal meñ

    shahr se shahr safar, ḳhvāb thā merā ham-safar

    maiñ ne to zindagī, baiTh ke ek shaal meñ

    iiñT se iiñT joḌ kar, ḳhvāb banā rahā huuñ maiñ

    raḳhne na Daal mere yaar, ḳhvāb dekh-bhāl meñ

    tujh ko bataen kis tarah, baiThe hain kaise haal mein

    duniya mein aisa kya hai jo, aata nahin wabaal mein

    DhunDte phir rahe hain hum aise shikari hath ko

    arz o sama ki wus'aten qaid hon jis ke jal mein

    pahle wo mera KHwab tha ab to main us ka KHwab hun

    mujh ko bata ai zindagi! kaun hai kis ki chaal mein

    shahr se shahr ka safar, KHwab tha mera ham-safar

    main ne to ji li zindagi, baiTh ke ek shaal mein

    inT se inT joD kar, KHwab bana raha hun main

    raKHne na Dal mere yar, KHwab ki dekh-bhaal mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now