Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

Tuk qais ko chheD-chhaD kar ishq

Insha Allah Khan Insha

Tuk qais ko chheD-chhaD kar ishq

Insha Allah Khan Insha

MORE BYInsha Allah Khan Insha

    Tuk qais ko chheḌ-chhāḌ kar ishq

    lipTā mujhe panje jhaaḌ kar ishq

    ḳham Thoñk mirī huā muqābil

    farhād ko duuñ pachhāḌ kar ishq

    aayā kaj o vā-kaj is taraf ko

    vāmiq ghar ujaaḌ kar ishq

    be-fauj-e-sarishk o parcham-e-āh

    jhapTā yuuñ bhīḌ-bhāḌ kar ishq

    al-qissa sabhoñ ke ho muqābil

    pahuñchā ab ham ko taaḌ kar ishq

    tā-dāman-e-koh kheñch laayā

    jañgal meñ unhoñ ko gaaḌ kar ishq

    ham ishq allāh bole to bhī

    chiñghāḌ ke aa.e phaaḌ kar ishq

    hai hai 'inshā' hamāre dil ko

    be-tarah gayā latāḌ kar ishq

    Tuk qais ko chheD-chhaD kar ishq

    lipTa mujhe panje jhaD kar ishq

    KHam Thonk meri hua muqabil

    farhad ko dun pachhaD kar ishq

    aaya kaj o wa-kaj is taraf ko

    wamiq ka ghar ujaD kar ishq

    be-fauj-e-sarishk o parcham-e-ah

    jhapTa yun bhiD-bhaD kar ishq

    al-qissa sabhon ke ho muqabil

    pahuncha ab hum ko taD kar ishq

    ta-daman-e-koh khench laya

    jangal mein unhon ko gaD kar ishq

    hum ishq allah bole to bhi

    chinghaD ke aae phaD kar ishq

    hai hai 'insha' hamare dil ko

    be-tarah gaya lataD kar ishq

    Source:

    Kulliyat-e-inshaallah khan insha (Pg. 74)

    • Author: Insha Allah Khan Insha
      • Publisher: Munshi Nawal Kishor, Lucknow
      • Year of Publication: 1876
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now