Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum gae sath ujalon ka bhi jhuTa Thahra

Waheed Akhtar

tum gae sath ujalon ka bhi jhuTa Thahra

Waheed Akhtar

MORE BYWaheed Akhtar

    tum ga.e saath ujāloñ bhī jhūTā Thahrā

    roz-o-shab apnā muqaddar añdherā Thahrā

    yaad karte nahīñ itnā to dil-e-ḳhāna-ḳharāb

    bhūlā-bhaTkā koī do roz agar aa Thahrā

    koī ilzām nasīm-e-saharī par na gayā

    phuul hañsne pe ḳhatāvār akelā Thahrā

    pattiyāñ rah ga.iiñ le uḌī āvāra sabā

    qāfila mauj-e-bahārāñ bas itnā Thahrā

    roz nazroñ se guzarte haiñ hazāroñ chehre

    sāmne dil ke magar ek chehrā Thahrā

    vaqt bhī sa.ī-e-madāva-e-alam kar na sakā

    jab se tum bichhḌe ho ḳhud vaqt hai Thahrā Thahrā

    dil hai vo mom milā hai jise sham.oñ gudāz

    ab koī dekhe na dekhe yūñhī jalnā Thahrā

    tum ne jo sham.a jalā.ī thī na bujhne paa.e

    ab to le-de ke yahī kaam hamārā Thahrā

    gungunā leñge ġhazal aaj 'vahīd'-aḳhtar

    naam lenā jo dar-parda tumhārā Thahrā

    tum gae sath ujalon ka bhi jhuTa Thahra

    roz-o-shab apna muqaddar hi andhera Thahra

    yaad karte nahin itna to dil-e-KHana-KHarab

    bhula-bhaTka koi do roz agar aa Thahra

    koi ilzam nasim-e-sahari par na gaya

    phul hansne pe KHatawar akela Thahra

    pattiyan rah gain bu le uDi aawara saba

    qafila mauj-e-bahaaran ka bas itna Thahra

    roz nazron se guzarte hain hazaron chehre

    samne dil ke magar ek hi chehra Thahra

    waqt bhi sai-e-madawa-e-alam kar na saka

    jab se tum bichhDe ho KHud waqt hai Thahra Thahra

    dil hai wo mom mila hai jise shamon ka gudaz

    ab koi dekhe na dekhe yunhi jalna Thahra

    tum ne jo shama jalai thi na bujhne pae

    ab to le-de ke yahi kaam hamara Thahra

    gunguna lenge ghazal aaj 'wahid'-aKHtar ki

    nam lena hi jo dar-parda tumhaara Thahra

    Source:

    Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002) (Pg. 642)

      • Edition: 1969
      • Publisher: Ahmad Nadeem Qasmi
      • Year of Publication: 1969
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now