Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum hamein ek din dasht mein chhoD kar chal diye the tumhein kya KHabar ya aKHi

Irfan Siddiqi

tum hamein ek din dasht mein chhoD kar chal diye the tumhein kya KHabar ya aKHi

Irfan Siddiqi

MORE BYIrfan Siddiqi

    tum hameñ ek din dasht meñ chhoḌ kar chal diye the tumheñ kyā ḳhabar aḳhī

    kitne mausam lage haiñ hamāre badan par nikalne meñ ye bāl-o-par aḳhī

    shab-gazīda dayāroñ ke nāqa-savāroñ meñ mahtāb-chehra tumhārā na thā

    ḳhaak meñ mil ga.e raah takte hue sab ḳhamīda kamar bām-o-dar aḳhī

    jañg faisla ho chukā hai to phir mere dil kamīñ-gāh meñ kaun hai

    ik shaqī kāTtā hai tanābeñ mire ḳhema-e-ḳhvāb raat bhar aḳhī

    ye bhī achchhā huā tum is āshob se apne sarsabz baazū bachā le ga.e

    yuuñ bhī kū-e-ziyāñ meñ lagānā thā ham ko apne lahū shajar aḳhī

    nahr is shahr bhī bahut mehrbāñ hai magar apnā rahvār mat roknā

    hijratoñ ke muqaddar meñ baaqī nahīñ ab koī qarya-e-mo'tabar aḳhī

    zard pattoñ ke ThanDe badan apne hāthoñ pe le kar havā ne shajar se kahā

    agle mausam meñ tujh par na.e barg-o-bār ā.eñge tab talak sabr kar aḳhī

    tum hamein ek din dasht mein chhoD kar chal diye the tumhein kya KHabar ya aKHi

    kitne mausam lage hain hamare badan par nikalne mein ye baal-o-par ya aKHi

    shab-gazida dayaron ke naqa-sawaron mein mahtab-chehra tumhaara na tha

    KHak mein mil gae rah takte hue sab KHamida kamar baam-o-dar ya aKHi

    jang ka faisla ho chuka hai to phir mere dil ki kamin-gah mein kaun hai

    ek shaqi kaTta hai tanaben mere KHema-e-KHwab ki raat bhar ya aKHi

    ye bhi achchha hua tum is aashob se apne sarsabz bazu bacha le gae

    yun bhi ku-e-ziyan mein lagana hi tha hum ko apne lahu ka shajar ya aKHi

    nahr is shahr ki bhi bahut mehrban hai magar apna rahwar mat rokna

    hijraton ke muqaddar mein baqi nahin ab koi qarya-e-mo'tabar ya aKHi

    zard patton ke ThanDe badan apne hathon pe le kar hawa ne shajar se kaha

    agle mausam mein tujh par nae barg-o-bar aaenge tab talak sabr kar ya aKHi

    Source:

    Mujalla Dastavez (Pg. 166)

    • Author: Aziz Nabeel
      • Edition: 2010
      • Publisher: Edarah Dastavez
      • Year of Publication: 2010
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now