Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tum se bhi baatchit ho dil se bhi guftugu rahe

Ishrat Afreen

tum se bhi baatchit ho dil se bhi guftugu rahe

Ishrat Afreen

MORE BYIshrat Afreen

    tum se bhī bātchīt ho dil se bhī guftugū rahe

    ḳhvāb o ḳhabar silsila yūñhī kabhū kabhū rahe

    dard bhī haath thaam le zaḳhm bhī bolne lageñ

    ya.anī nihāl-e-shāḳh-e-ġham aise bā-numū rahe

    ishq meñ ehtiyāt goyā hai pās-e-vaz-e-ishq

    chaak hoñ sad-hazār aur dāman-e-dil rafū rahe

    jo nahīñ to maiñ nahīñ maiñ jo nahīñ to kahāñ

    donoñ tarah thī baat ek maiñ rahūñ ki rahe

    aur matā-e-jān-o-dil kuchh bhī na mujh ko chāhiye

    siine meñ ik charāġh aañkh meñ ik lahū rahe

    ek charāġh hañs paḌā taaq meñ ehtiyāt se

    aur havā sahm ga.ī phuul aabrū rahe

    ek lakīr ro paḌī donoñ hatheliyoñ ke biich

    rañg-e-hinā chhupā gayā haath lahū lahū rahe

    tum se bhi baatchit ho dil se bhi guftugu rahe

    KHwab o KHabar ka silsila yunhi kabhu kabhu rahe

    dard bhi hath tham le zaKHm bhi bolne lagen

    yani nihaal-e-shaKH-e-gham aise hi ba-numu rahe

    ishq mein ehtiyat hi goya hai pas-e-waz-e-ishq

    chaak hon sad-hazar aur daman-e-dil rafu rahe

    tu jo nahin to main nahin main jo nahin to tu kahan

    donon tarah thi baat ek main rahun ya ki tu rahe

    aur mata-e-jaan-o-dil kuchh bhi na mujh ko chahiye

    sine mein ek charagh sa aankh mein ek lahu rahe

    ek charagh hans paDa taq mein ehtiyat se

    aur hawa sahm gai phul ki aabru rahe

    ek lakir ro paDi donon hatheliyon ke bich

    rang-e-hina chhupa gaya hath lahu lahu rahe

    Source:

    Ghazal Calendar-2015 (Pg. 20.09.2015)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now