aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaara hath jab mere larazte hath se chhuTa KHizan ke aaKHiri din the

Amjad Islam Amjad

tumhaara hath jab mere larazte hath se chhuTa KHizan ke aaKHiri din the

Amjad Islam Amjad

MORE BYAmjad Islam Amjad

    tumhārā haath jab mere larazte haath se chhūTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

    vo mohkam be-lachak va.ada khilaune tarah TuuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

    bahār aa.ī na thī lekin havāoñ meñ na.e mausam ḳhushbū raqs kartī thī

    achānak jab kahā tum ne mire muñh par mujhe jhūTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

    vo kyā din the yahīñ ham ne bahāroñ duā thī kisī ne bhī nahīñ sochā

    chaman vāloñ ne mil kar jab ḳhud apnā chaman luuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

    likhā thā ek taḳhtī par koī bhī phuul mat toḌe magar āñdhī to an-paḌh thī

    so jab vo baaġh se guzrī koī ukhḌā koī TuuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

    bahut zor se piiTe havā ke bain par siine hamāre ḳhair-ḳhvāhoñ ne

    ki chāñdī ke varaq jaisā samay ne jab hameñ kuuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

    na rut thī āñdhiyoñ ye na mausam thā havāoñ to phir ye kyā huā 'amjad'

    har ik koñpal huī zaḳhmī huā majrūh har buuTā ḳhizāñ ke āḳhirī din the

    tumhaara hath jab mere larazte hath se chhuTa KHizan ke aaKHiri din the

    wo mohkam be-lachak wada khilaune ki tarah TuTa KHizan ke aaKHiri din the

    bahaar aai na thi lekin hawaon mein nae mausam ki KHushbu raqs karti thi

    achanak jab kaha tum ne mere munh par mujhe jhuTa KHizan ke aaKHiri din the

    wo kya din the yahin hum ne bahaaron ki dua ki thi kisi ne bhi nahin socha

    chaman walon ne mil kar jab KHud apna hi chaman luTa KHizan ke aaKHiri din the

    likha tha ek taKHti par koi bhi phul mat toDe magar aandhi to an-paDh thi

    so jab wo bagh se guzri koi ukhDa koi TuTa KHizan ke aaKHiri din the

    bahut hi zor se piTe hawa ke bain par sine hamare KHair-KHwahon ne

    ki chandi ke waraq jaisa samay ne jab hamein kuTa KHizan ke aaKHiri din the

    na rut thi aandhiyon ki ye na mausam tha hawaon ka to phir ye kya hua 'amjad'

    har ek konpal hui zaKHmi hua majruh har buTa KHizan ke aaKHiri din the

    Source:

    Batain Kartay Din (Pg. 162)

    • Author: Amjad Islam Amjad
      • Edition: 2014
      • Publisher: Sang-e-meel Publications
      • Year of Publication: 2014
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now