Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari farzangi se kuchh kam nahin hai diwana-pan hamara

Shaad Aarfi

tumhaari farzangi se kuchh kam nahin hai diwana-pan hamara

Shaad Aarfi

MORE BYShaad Aarfi

    tumhārī farzāngī se kuchh kam nahīñ hai dīvāna-pan hamārā

    tumheñ mubārak tumhārī hijrat hameñ mubārak vatan hamārā

    jo gulsitānoñ shāh-rāhoñ pe apne bistar lagā na paa.e

    vahī vahāñ ke kah rahe haiñ nahīñ hai koī chaman hamārā

    Ba-qaul-e-'iqbāl' pahle pahle yahāñ lagā.e the jis ne Dere

    vo kārvāñ aaj bhī basā hai kanār-e-gañg-o-jaman hamārā

    ba.īd-e-aḳhlāq-o-ādamiyyat hai rahnumāoñ se bad-gumānī

    kamāl-e-sāda-dilī to ye hai ki saath de rāhzan hamārā

    sadā-e-nāqūs-e-but-kada par giraft mashvara na diije

    ibādat-o-bandagī ke maan.e nahīñ hai jab barhaman hamārā

    ye dūsrī baat hai ki hijrat na kar ke dar-dar ḳhaak chhānī

    chane na bechegā 'josh' tarah zauq-e-sher-o-suḳhan hamārā

    vatan is sar-zamīñ ko ai 'shād' kaun se dil se chhoḌ deñ ham

    vatan jis sar-zamīñ pe guzrā hai daur-e-dār-o-rasan hamārā

    tumhaari farzangi se kuchh kam nahin hai diwana-pan hamara

    tumhein mubarak tumhaari hijrat hamein mubarak watan hamara

    jo gulsitanon ki shah-rahon pe apne bistar laga na pae

    wahi wahan ja ke kah rahe hain nahin hai koi chaman hamara

    Ba-qaul-e-'iqbaal' pahle pahle yahan lagae the jis ne Dere

    wo karwan aaj bhi basa hai kanar-e-gang-o-jaman hamara

    baid-e-aKHlaq-o-adamiyyat hai rahnumaon se bad-gumani

    kamal-e-sada-dili to ye hai ki sath de rahzan hamara

    sada-e-naqus-e-but-kada par giraft ka mashwara na dije

    ibaadat-o-bandagi ke mane nahin hai jab barhaman hamara

    ye dusri baat hai ki hijrat na kar ke dar-dar ki KHak chhani

    chane na bechega 'josh' ki tarah zauq-e-sher-o-suKHan hamara

    watan ki is sar-zamin ko ai 'shad' kaun se dil se chhoD den hum

    watan ki jis sar-zamin pe guzra hai daur-e-dar-o-rasan hamara

    Source:

    غزل اس نے چھیڑی-5 (Pg. 258)

    • Author: فرحت احساس
      • Publisher: ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
      • Year of Publication: 2018
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now