Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tumhaari zulf ka dil se muqabla na gaya

Abul Baqa Sabr Saharanpuri

tumhaari zulf ka dil se muqabla na gaya

Abul Baqa Sabr Saharanpuri

MORE BYAbul Baqa Sabr Saharanpuri

    tumhārī zulf dil se muqābla na gayā

    hamāre sar se ye saudā ye silsila na gayā

    agarche jaañ se ga.e bārhā mohabbat meñ

    shikast-e-fāsh pe bhī vaise hausla na gayā

    haTā ke zulf-e-pareshāñ vo ruḳh se yuuñ bole

    kabhī ye shām-o-sahar fāsla na gayā

    havā-e-bāda-e-māshūq ab bhī baaqī hai

    shabāb jaane pe bhī dil valvala na gayā

    bujhā.ī pyaas na kab is se ḳhār-e-sahrā

    maiñ apne paañv kab le ke aabla na gayā

    yahāñ jafā vafā vahāñ rahā shikva

    hamāre un ke diloñ se yahī gila na gayā

    yahāñ hamesha ajal Dāltī rahī Daakā

    adam ko kaun se din luT ke qāfila na gayā

    tirī teġh-e-jafā ke ye nīm-bismil haiñ

    dil-o-jigar kabhī kar ke faisla na gayā

    nikal gayā thā vo khoTā hamārā dil le kar

    hamīñ khare the jo us se mo.āmla na gayā

    jo dil chaak siyā to jigar huā TukḌe

    tamām umr yahī apnā mashġhala na gayā

    vazīfa-ḳhvār hai ye bārgāh us

    ḳhudā ke ghar se kabhī 'sabr' sila na gayā

    tumhaari zulf ka dil se muqabla na gaya

    hamare sar se ye sauda ye silsila na gaya

    agarche jaan se gae barha mohabbat mein

    shikast-e-fash pe bhi waise hausla na gaya

    haTa ke zulf-e-pareshan wo ruKH se yun bole

    kabhi ye sham-o-sahar hi ka fasla na gaya

    hawa-e-baada-e-mashuq ab bhi baqi hai

    shabab jaane pe bhi dil ka walwala na gaya

    bujhai pyas na kab is se KHar-e-sahra ki

    main apne panw ka kab le ke aabla na gaya

    yahan jafa ka wafa ka wahan raha shikwa

    hamare un ke dilon se yahi gila na gaya

    yahan hamesha ajal Dalti rahi Daka

    adam ko kaun se din luT ke qafila na gaya

    teri hi tegh-e-jafa ke ye nim-bismil hain

    dil-o-jigar ka kabhi kar ke faisla na gaya

    nikal gaya tha wo khoTa hamara dil le kar

    hamin khare the jo us se moamla na gaya

    jo dil ka chaak siya to jigar hua TukDe

    tamam umr yahi apna mashghala na gaya

    wazifa-KHwar hai ye bargah ka us ki

    KHuda ke ghar se kabhi 'sabr' ka sila na gaya

    Source:

    Deewan-e-Sabr (Pg. 51)

    • Author: Abul Baqa Sabr Saharanpuri
      • Publisher: Mahboobul Matabe, Delhi
      • Year of Publication: 1960
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now