Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu ek wahm hai is ke siwa nahin kuchh bhi

Shahbaz Khwaja

tu ek wahm hai is ke siwa nahin kuchh bhi

Shahbaz Khwaja

MORE BYShahbaz Khwaja

    ek vahm hai is ke sivā nahīñ kuchh bhī

    so mere dil ke liye aasrā nahīñ kuchh bhī

    ye dhuup Dhaltī huī umr muñDeroñ se

    ye jism bujhte hue aur sila nahīñ kuchh bhī

    vo niiñd aur kisī naam se huī mansūb

    magar vo ḳhvāb ki tere sivā nahīñ kuchh bhī

    maiñ zard phuul huuñ maiñ ik charāġh lau ke baġhair

    mere liye koī bārish havā nahīñ kuchh bhī

    mere vāste sab kuchh hai ya.anī sab kuchh hai

    tire liye maiñ nahīñ kuchh to nahīñ kuchh bhī

    to kyā maiñ tujh ko kabhī yaad bhī nahīñ aatā

    to kyā mere liye sochtā nahīñ kuchh bhī

    ye kaisā moḌ hai ye kaisī rā.egānī hai

    koī duā koī harf-e-duā nahīñ kuchh bhī

    ye log aap ḳhudā ban ga.e haiñ in ke liye

    hujūm-e-ḳhalq-e-ḳhudā kyā ḳhudā nahīñ kuchh bhī

    tu ek wahm hai is ke siwa nahin kuchh bhi

    so mere dil ke liye aasra nahin kuchh bhi

    ye dhup Dhalti hui umr ki munDeron se

    ye jism bujhte hue aur sila nahin kuchh bhi

    wo nind aur kisi nam se hui mansub

    magar wo KHwab ki tere siwa nahin kuchh bhi

    main zard phul hun main ek charagh lau ke baghair

    mere liye koi barish hawa nahin kuchh bhi

    tu mere waste sab kuchh hai yani sab kuchh hai

    tere liye main nahin kuchh to ja nahin kuchh bhi

    to kya main tujh ko kabhi yaad bhi nahin aata

    to kya tu mere liye sochta nahin kuchh bhi

    ye kaisa moD hai ye kaisi raegani hai

    koi dua koi harf-e-dua nahin kuchh bhi

    ye log aap KHuda ban gae hain in ke liye

    hujum-e-KHalq-e-KHuda kya KHuda nahin kuchh bhi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now