Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya

Unknown

tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya

Unknown

MORE BYUnknown

    ne apnā jalva dikhāne ko jo naqāb muñh se uThā diyā

    vahīñ mahv-e-hairat-e-be-ḳhudī mujhe aa.ina banā diyā

    vo jo naqsh-e-pā tarah rahī thī numūd apne vajūd

    so kashish ne dāman-e-nāz use bhī zamīñ se miTā diyā

    rag-o-pai meñ aag bhaḌak uThī phuñke hai paḌā ye sabhī badan

    mujhe sāqiyā mai-e-ātishīñ ye jaam kaisā pilā diyā

    jabhī ke maktab-e-ishq meñ sabaq-e-maqām-e-fanā liyā

    jo likhā paḌhā thā 'niyāz' ne so vo saaf dil se bhulā diyā

    tu ne apna jalwa dikhane ko jo naqab munh se uTha diya

    wahin mahw-e-hairat-e-be-KHudi mujhe aaina sa bana diya

    wo jo naqsh-e-pa ki tarah rahi thi numud apne wajud ki

    so kashish ne daman-e-naz ki use bhi zamin se miTa diya

    rag-o-pai mein aag bhaDak uThi phunke hai paDa ye sabhi badan

    mujhe saqiya mai-e-atishin ka ye jam kaisa pila diya

    jabhi ja ke maktab-e-ishq mein sabaq-e-maqam-e-fana liya

    jo likha paDha tha 'niyaz' ne so wo saf dil se bhula diya

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now