aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu ne KHanjar meri gardan pe na phera achchha

Shah Akbar Danapuri

tu ne KHanjar meri gardan pe na phera achchha

Shah Akbar Danapuri

MORE BYShah Akbar Danapuri

    ne ḳhanjar mirī gardan pe na pherā achchhā

    achchhā achchhā are o jaan ke levā achchhā

    sair achchhī hai hujūm achchhā hai melā achchhā

    haq to ye hai ki hai duniyā tamāshā achchhā

    sar mirā kaaT ke kis naaz se farmāte haiñ

    kas liyā ham ne ye ḳhanjar hai hamārā achchhā

    dard jab uThtā hai mujh ko bhī uThā detā hai

    nā-tavānī ke liye hai ye sahārā achchhā

    phir chale ġhair jānib nigah-e-nāz ke tiir

    kyoñ nishāna vahī phir aap ne taakā achchhā

    vaah kyā ḳhuub mire dil lagī hai qīmat

    kahte haiñ muft agar do to hai saudā achchhā

    ek vo lākhoñ ḳharīdār baḌhe nirḳh na kyoñ

    aur phir nām-e-ḳhudā maal hai kaisā achchhā

    sub.h ko lutf hai tafrīh dariyā ko chalo

    vaqt-e-ḳhush sair-e-ḳhush-āiñd tamāshā achchhā

    mol lo tum mirā dil khoTe dāmoñ ko sahī

    mujh ko to fā.edoñ se hai ye ḳhasārā achchhā

    chār-dīvār-e-chaman apne liye zindāñ hai

    ham se dīvānoñ ko hai baaġh se sahrā achchhā

    munqabiz hai jo tabī.at to chaman jangal hai

    dil shagufta hai to gulzār se sahrā achchhā

    dekh kar baaġh dīvāroñ ko dam ghuTtā hai

    bulbuloñ ko ye mubārak hameñ sahrā achchhā

    mas.ala Thiik hai ye jins ko hai jins se mail

    kyoñ na chāhe tumheñ dil dil hai hamārā achchhā

    ye hai sūrat ise kahte haiñ ḳhudā-dād jamāl

    hūroñ se hai tirī tasvīr ḳhāka achchhā

    dil mirā lete ho qīmat nahīñ dete mujh ko

    tum sakhī kaise ho lene se hai denā achchhā

    ruuh se baḌh ke tirā nīmcha pyārā hai mujhe

    rag-e-jāñ se tirī talvār Dorā achchhā

    bazm-e-hastī se uThe jo vo yahī kah ke uThe

    dil lagā ḳhuub yahāñ hai ye tamāshā achchhā

    shaiḳh ho koī sayyad ho koī ho 'akbar'

    ḳhush rahe jis se ḳhudā hai vahī bandā achchhā

    tu ne KHanjar meri gardan pe na phera achchha

    achchha achchha are o jaan ke lewa achchha

    sair achchhi hai hujum achchha hai mela achchha

    haq to ye hai ki hai duniya ka tamasha achchha

    sar mera kaT ke kis naz se farmate hain

    kas liya hum ne ye KHanjar hai hamara achchha

    dard jab uThta hai mujh ko bhi uTha deta hai

    na-tawani ke liye hai ye sahaara achchha

    phir chale ghair ki jaanib nigah-e-naz ke tir

    kyon nishana wahi phir aap ne taka achchha

    wah kya KHub mere dil ki lagi hai qimat

    kahte hain muft agar do to hai sauda achchha

    ek wo lakhon KHaridar baDhe nirKH na kyon

    aur phir nam-e-KHuda mal hai kaisa achchha

    subh ko lutf hai tafrih ka dariya ko chalo

    waqt-e-KHush sair-e-KHush-aind tamasha achchha

    mol lo tum mera dil khoTe hi damon ko sahi

    mujh ko to faedon se hai ye KHasara achchha

    chaar-diwar-e-chaman apne liye zindan hai

    hum se diwanon ko hai bagh se sahra achchha

    munqabiz hai jo tabiat to chaman jangal hai

    dil shagufta hai to gulzar se sahra achchha

    dekh kar bagh ki diwaron ko dam ghuTta hai

    bulbulon ko ye mubarak hamein sahra achchha

    masala Thik hai ye jins ko hai jins se mail

    kyon na chahe tumhein dil dil hai hamara achchha

    ye hai surat ise kahte hain KHuda-dad jamal

    huron se hai teri taswir ka KHaka achchha

    dil mera lete ho qimat nahin dete mujh ko

    tum sakhi kaise ho lene se hai dena achchha

    ruh se baDh ke tera nimcha pyara hai mujhe

    rag-e-jaan se teri talwar ka Dora achchha

    bazm-e-hasti se uThe jo wo yahi kah ke uThe

    dil laga KHub yahan hai ye tamasha achchha

    shaiKH ho ya koi sayyad ho koi ho 'akbar'

    KHush rahe jis se KHuda hai wahi banda achchha

    Source:

    (Pg. 79)

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now