Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

tu wo hindostan mein lala hai

Shad Lakhnavi

tu wo hindostan mein lala hai

Shad Lakhnavi

MORE BYShad Lakhnavi

    vo hindostāñ meñ laalā hai

    jis dāġhī ġhulām laalā hai

    haath vahshat se rok ai majnūñ

    paañv paḌtā har ek chhālā hai

    be-mai-o-nāñ huuñ maiñ vo ġhairoñ se

    ham-piyāla hai ham-nivāla hai

    dil-e-har-shaiḳh-o-barhaman hai judā

    kahīñ masjid kahīñ shivālā hai

    us ke aane se tan meñ jaan aa.ī

    dam-e-āḳhir liyā sambhālā hai

    chup rahūñ kyā maiñ sūrat-e-nāqūs

    dil hai shaq jab laboñ pe naala hai

    kyuuñ na simran paḌhe bashar ai 'shād'

    aadmī haDDiyoñ maalā hai

    tu wo hindostan mein lala hai

    jis ka daghi ghulam lala hai

    hath wahshat se rok ai majnun

    panw paDta har ek chhaala hai

    be-mai-o-nan hun main wo ghairon se

    ham-piyala hai ham-niwala hai

    dil-e-har-shaiKH-o-barhaman hai juda

    kahin masjid kahin shiwala hai

    us ke aane se tan mein jaan aai

    dam-e-aKHir liya sambhaala hai

    chup rahun kya main surat-e-naqus

    dil hai shaq jab labon pe nala hai

    kyun na simran paDhe bashar ai 'shad'

    aadmi haDDiyon ka mala hai

    Source:

    Sukhan-e-Bemisal: Deewan-e-Shad (pdf) and website (Pg. p-111 e-117 pdf-118)

    • Author: Shad Lakhnavi
      • Edition: 1901
      • Publisher: Matbaa Tasweer-e- Alam, Lucknow
      • Year of Publication: 1901
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now