Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ubharte Dubte taron ke bhed kholega

Zafar Ghauri

ubharte Dubte taron ke bhed kholega

Zafar Ghauri

MORE BYZafar Ghauri

    ubharte Dūbte tāroñ ke bhed kholegā

    fasīl-e-shab se utar kar koī to bolegā

    ye ahd vo hai jo qaa.il nahīñ sahīfoñ

    ye harf harf ko maslūb kar ke tolegā

    utar jā.egā rag rag meñ aaj zahr-e-sukūt

    vo pyaar se mire lahje meñ shahd gholegā

    mirā nasīb Thahrā jo rābtoñ shikast

    tilism-e-jāñ bhī ye qufl koī kholegā

    jo suune dil meñ kahīñ bas gayā koī aaseb

    jahāñ bhī jāoge saaya saath ho legā

    hai aaj vaqt 'zafar' dil baat kah Dāleñ

    kabhī to vo bhī zarā apnā dil TaTolegā

    ubharte Dubte taron ke bhed kholega

    fasil-e-shab se utar kar koi to bolega

    ye ahd wo hai jo qail nahin sahifon ka

    ye harf harf ko maslub kar ke tolega

    utar hi jaega rag rag mein aaj zahr-e-sukut

    wo pyar se mere lahje mein shahd gholega

    mera nasib hi Thahra jo rabton ki shikast

    tilism-e-jaan ka bhi ye qufl koi kholega

    jo sune dil mein kahin bas gaya koi aaseb

    jahan bhi jaoge saya sa sath ho lega

    hai aaj waqt 'zafar' dil ki baat kah Dalen

    kabhi to wo bhi zara apna dil TaTolega

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 702)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now