Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uDa kar kag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai

Nazm Tabatabai

uDa kar kag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai

Nazm Tabatabai

MORE BYNazm Tabatabai

    uḌā kar kaag shīshe se mai-e-gul-gūñ nikaltī hai

    sharābī jam.a haiñ mai-ḳhāna meñ Topī uchhaltī hai

    bahār-e-mai-kashī aa.ī chaman rut badaltī hai

    ghaTā mastāna uThtī hai havā mastāna chaltī hai

    za-ḳhud-rafta tabī.at kab sambhāle se sambhaltī hai

    na ban aatī hai nāseh se na kuchh vaa.iz chaltī hai

    ye kis hai tamannā chuTkiyāñ letī hai jo dil meñ

    ye kis aarzū hai jo kaleje ko masaltī hai

    vo dīvāna hai jo is fasl meñ fasdeñ na khulvā.e

    rag-e-har-shāḳh-e-gul se ḳhuun naddī ubaltī hai

    sahar hote dam niklā ġhash aate ajal aa.ī

    kahāñ huuñ maiñ nasīm-e-sub.h pañkhā kis ko jhaltī hai

    tamatto ek hai ek ke nuqsāñ se aalam meñ

    ki saaya phailtā jaatā hai juuñ juuñ dhuup Dhaltī hai

    binā rakkhī hai ġham par ziist ye ho gayā sābit

    na lapkā aah chhūTegā jab tak saañs chaltī hai

    qarār ik dam nahīñ aatā hai ḳhūn-e-be-gunah kar

    ki ab to ḳhud ba-ḳhud talvār rah rah kar ugaltī hai

    jahannam na aañch aa.egī mai-ḳhvāroñ pe o vaa.iz

    sharāb ālūda ho jo shai vo kab ātish meñ jaltī hai

    na dikhlānā ilāhī ek aafat hai shab-e-furqat

    na jo kaaTe se kaTtī hai na jo Taale se Taltī hai

    ye achchhā shuġhl vahshat meñ nikālā ne ai 'haidar'

    garebāñ meñ ulajhne se tabī.at to bahaltī hai

    uDa kar kag shishe se mai-e-gul-gun nikalti hai

    sharabi jama hain mai-KHana mein Topi uchhalti hai

    bahaar-e-mai-kashi aai chaman ki rut badalti hai

    ghaTa mastana uThti hai hawa mastana chalti hai

    za-KHud-rafta tabiat kab sambhaale se sambhalti hai

    na ban aati hai naseh se na kuchh waiz ki chalti hai

    ye kis ki hai tamanna chuTkiyan leti hai jo dil mein

    ye kis ki aarzu hai jo kaleje ko masalti hai

    wo diwana hai jo is fasl mein fasden na khulwae

    rag-e-har-shaKH-e-gul se KHun ki naddi ubalti hai

    sahar hote hi dam nikla ghash aate hi ajal aai

    kahan hun main nasim-e-subh pankha kis ko jhalti hai

    tamatto ek ka hai ek ke nuqsan se aalam mein

    ki saya phailta jata hai jun jun dhup Dhalti hai

    bina rakkhi hai gham par zist ki ye ho gaya sabit

    na lapka aah ka chhuTega jab tak sans chalti hai

    qarar ek dam nahin aata hai KHun-e-be-gunah pi kar

    ki ab to KHud ba-KHud talwar rah rah kar ugalti hai

    jahannam ki na aanch aaegi mai-KHwaron pe o waiz

    sharab aaluda ho jo shai wo kab aatish mein jalti hai

    na dikhlana ilahi ek aafat hai shab-e-furqat

    na jo kaTe se kaTti hai na jo Tale se Talti hai

    ye achchha shughl wahshat mein nikala tu ne ai 'haidar'

    gareban mein ulajhne se tabiat to bahalti hai

    Source:

    Deewan-e-Tabatabai (Rekhta Website) (Pg. 301)

    • Author: Nazm Tabatabai
      • Edition: 1933
      • Publisher: Maktaba Ibrahimiya, Hyderabad
      • Year of Publication: 1933
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now