Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

udasi bas udasi hi udasi

Sohail Shad

udasi bas udasi hi udasi

Sohail Shad

MORE BYSohail Shad

    udāsī bas udāsī udāsī

    kahāñ se aatī hai itnī udāsī

    udāsī ne mujhe vikram chunā hai

    mirī gardan se hai laTkī udāsī

    uḌā baiThe baiThe saarī botal

    maiñ ġhaT se gayā saarī udāsī

    khare sikke chalte haiñ ġhazal meñ

    yahāñ chaltī nahīñ khoTī udāsī

    hañse to hañste hañste ro paḌe ham

    chhupā bhī na sake thoḌī udāsī

    virāsat baañT to sab ko lekin

    kise sauñpeñge ham apnī udāsī

    mukarrar ho mukarrar kah rahī hai

    mirī ġhazloñ pe sar dhuntī udāsī

    bhalā kaise hameñ ḳhush dekh paatī

    udāsī bhī miyāñ Thahrī udāsī

    koī tai kar chukā hai sab qismat

    milegī kab kise kitnī udāsī

    bil-āḳhir tang aa kar hañs paḌe ham

    sañbhālegā koī kitnī udāsī

    mire jaise hazāroñ 'shād' ro.e

    vo jab oḌhe hue niklī udāsī

    udasi bas udasi hi udasi

    kahan se aati hai itni udasi

    udasi ne mujhe wikram chuna hai

    meri gardan se hai laTki udasi

    uDa di baiThe baiThe sari botal

    main ghaT se pi gaya sari udasi

    khare sikke hi chalte hain ghazal mein

    yahan chalti nahin khoTi udasi

    hanse to hanste hanste ro paDe hum

    chhupa bhi na sake thoDi udasi

    wirasat banT to di sab ko lekin

    kise saunpenge hum apni udasi

    mukarrar ho mukarrar kah rahi hai

    meri ghazlon pe sar dhunti udasi

    bhala kaise hamein KHush dekh pati

    udasi bhi miyan Thahri udasi

    koi tai kar chuka hai sab ki qismat

    milegi kab kise kitni udasi

    bil-aKHir tang aa kar hans paDe hum

    sanbhaalega koi kitni udasi

    mere jaise hazaron 'shad' roe

    wo jab oDhe hue nikli udasi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta 10th Edition | 5-6-7 December Get Tickets Here

    Speak Now