Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ufuq ke us par zindagi ke udas lamhe guzar aaun

Qateel Shifai

ufuq ke us par zindagi ke udas lamhe guzar aaun

Qateel Shifai

MORE BYQateel Shifai

    ufuq ke us paar zindagī ke udaas lamhe guzār aa.uuñ

    agar mirā saath de sako tum to maut ko bhī pukār aa.uuñ

    kuchh is tarah rahā huuñ jaise uThā.e phirtā huuñ laash apnī

    jo tum zarā bhī do sahārā to bār-e-hastī utaar aa.uuñ

    badal ga.e zindagī ke mehvar tavāf-e-dair-o-haram kahāñ

    tumhārī mahfil agar ho baaqī to maiñ bhī parvāna-vār aa.uuñ

    koī to aisā maqām hogā jahāñ mujhe bhī sukūñ milegā

    zamīñ ke tevar badal rahe haiñ to āsmāñ ko sañvār aa.uuñ

    agarche isrār-e-be-ḳhudī hai tujhe bhī zar-posh mahfiloñ meñ

    mujhe bhī zid hai ki tere dil meñ nuqūsh-e-māzī ubhār aa.uuñ

    sunā hai ek ajnabī manzil ko uTh rahe haiñ qadam tumhāre

    burā na maano to rahnumā.ī ko maiñ sar-e-rahguzār aa.uuñ

    ufuq ke us par zindagi ke udas lamhe guzar aaun

    agar mera sath de sako tum to maut ko bhi pukar aaun

    kuchh is tarah ji raha hun jaise uThae phirta hun lash apni

    jo tum zara sa bhi do sahaara to bar-e-hasti utar aaun

    badal gae zindagi ke mehwar tawaf-e-dair-o-haram kahan ka

    tumhaari mahfil agar ho baqi to main bhi parwana-war aaun

    koi to aisa maqam hoga jahan mujhe bhi sukun milega

    zamin ke tewar badal rahe hain to aasman ko sanwar aaun

    agarche israr-e-be-KHudi hai tujhe bhi zar-posh mahfilon mein

    mujhe bhi zid hai ki tere dil mein nuqush-e-mazi ubhaar aaun

    suna hai ek ajnabi si manzil ko uTh rahe hain qadam tumhaare

    bura na mano to rahnumai ko main sar-e-rahguzar aaun

    Source:

    Kalam Qateel Shifai (Pg. 96)

    • Author: Qateel Shifai
      • Edition: 2011
      • Publisher: Farid Book Depot Pvt. Ltd
      • Year of Publication: 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now