aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ujli ujli barf ke niche patthar nila nila hai

Gautam Rajrishi

ujli ujli barf ke niche patthar nila nila hai

Gautam Rajrishi

MORE BYGautam Rajrishi

    ujlī ujlī barf ke nīche patthar niilā niilā hai

    terī yādoñ meñ ye sard december niilā niilā hai

    din rañgat ḳhair guzar jaatī hai tere bin lekin

    kattha.ī kattha.ī rātoñ har manzar niilā niilā hai

    duur idhar khiḌkī par baiThī soch rahī ho mujh ko kyā

    chāñd udhar chhat par aayā hai thak kar niilā niilā hai

    terī niilī chunarī ne kyā haal kiyā bāġhīche

    nārañgī phūloñ vaalā gul-mohar niilā niilā hai

    bādal ke pīchhe sach ab kholā terī āñkhoñ ne

    jo nihāre roz use to ambar niilā niilā hai

    husn bhale ho raushan terā laal gulābī rañg liye

    ishq tere partav lekin dil par niilā niilā hai

    ik to bhī saath nahīñ hai uupar se ye bārish uf

    ghar to ghar saarā saarā daftar niilā niilā hai

    ujli ujli barf ke niche patthar nila nila hai

    teri yaadon mein ye sard december nila nila hai

    din ki rangat KHair guzar jati hai tere bin lekin

    katthai katthai raaton ka har manzar nila nila hai

    dur idhar khiDki par baiThi soch rahi ho mujh ko kya

    chand udhar chhat par aaya hai thak kar nila nila hai

    teri nili chunari ne kya haal kiya baghiche ka

    narangi phulon wala gul-mohar nila nila hai

    baadal ke pichhe ka sach ab khola teri aankhon ne

    tu jo nihaare roz use to ambar nila nila hai

    husn bhale ho raushan tera lal gulabi rang liye

    ishq ka tere partaw lekin dil par nila nila hai

    ek to tu bhi sath nahin hai upar se ye barish uf

    ghar to ghar sara ka sara daftar nila nila hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now