Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin

Mahir Bilgrami

ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin

Mahir Bilgrami

MORE BYMahir Bilgrami

    ulfat jis ko rog lagā vo bachā nahīñ

    ye dard hai vo dard ki jis davā nahīñ

    insāñ vo kyā ki jis se ho sarzad ḳhatā nahīñ

    iz.hār-e-dard-e-dil pe ye ġhussa ravā nahīñ

    mehr-o-vafā nahīñ haiñ ki sabr-o-razā nahīñ

    ham afqaroñ ke kīsa-e-ḳhākī meñ kyā nahīñ

    bīmār ke na zaḳhm pe zālim namak chhiḌak

    nargis se chheḌ achchhī ye bād-e-sabā nahīñ

    phir kah ke kyā pukārūñ tujhe jān-e-man agar

    dilbar nahīñ nigār nahīñ dilrubā nahīñ

    nādān dil ko us se vafā umiid hai

    jo bevafā kisī abhī tak huā nahīñ

    be-laus ishq-o-husn-parastī ke mā-sivā

    vallāh merā aur koī mudda.ā nahīñ

    dekhā dil-e-ġharīb ko nāgin Das ga.ī

    lahrā rahī hai zulf ye kaalī ghaTā nahīñ

    bhūle se haañ bhī muñh se nikaltā kabhī kabhī

    mere har ik savāl pe ye tā-kujā nahīñ

    dukh dard meñ hamesha jo sab sharīk hai

    us ke sivā kisī mujhe aasrā nahīñ

    bedār sone meñ bhī hai kartī zamīr ko

    dil sadā hai ye koī bāñg-e-darā nahīñ

    āsāñ nahīñ mushāhida-e-shāhid-jamāl

    nazroñ se khulne vaalā ye band-e-qabā nahīñ

    pahle-pahal jo dil ko lagī thī nazar choT

    bhūlā ġharīb aaj bhī vo hadisā nahīñ

    bekār us ke sāmne izhār-e-zauq-o-shauq

    nādāñ shai-e-latīf se jo āshnā nahīñ

    'māhir' na dil kaho use ik laḳht-e-sañg hai

    har-dam ġham-e-habīb meñ jo mubtalā nahīñ

    ulfat ka jis ko rog laga wo bacha nahin

    ye dard hai wo dard ki jis ki dawa nahin

    insan wo kya ki jis se ho sarzad KHata nahin

    izhaar-e-dard-e-dil pe ye ghussa rawa nahin

    mehr-o-wafa nahin hain ki sabr-o-raza nahin

    hum afqaron ke kisa-e-KHaki mein kya nahin

    bimar ke na zaKHm pe zalim namak chhiDak

    nargis se chheD achchhi ye baad-e-saba nahin

    phir kah ke kya pukarun tujhe jaan-e-man agar

    dilbar nahin nigar nahin dilruba nahin

    nadan dil ko us se wafa ki umid hai

    jo bewafa kisi ka abhi tak hua nahin

    be-laus ishq-o-husn-parasti ke ma-siwa

    wallah mera aur koi muddaa nahin

    dekha dil-e-gharib ko nagin si Das gai

    lahra rahi hai zulf ye kali ghaTa nahin

    bhule se han bhi munh se nikalta kabhi kabhi

    mere har ek sawal pe ye ta-kuja nahin

    dukh dard mein hamesha jo sab ka sharik hai

    us ke siwa kisi ka mujhe aasra nahin

    bedar sone mein bhi hai karti zamir ko

    dil ki sada hai ye koi bang-e-dara nahin

    aasan nahin mushahida-e-shahid-jamal

    nazron se khulne wala ye band-e-qaba nahin

    pahle-pahal jo dil ko lagi thi nazar ki choT

    bhula gharib aaj bhi wo hadisa nahin

    bekar us ke samne izhaar-e-zauq-o-shauq

    nadan shai-e-latif se jo aashna nahin

    'mahir' na dil kaho use ek laKHt-e-sang hai

    har-dam gham-e-habib mein jo mubtala nahin

    Source:

    Saamaan-e-Sar-Khushi (Pg. 136)

    • Author: Mahir Bilgrami
      • Edition: 1988
      • Publisher: Bilgrami Publication, Lakhnow
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now