aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uljhao ka maza bhi teri baat hi mein tha

Aziz Qaisi

uljhao ka maza bhi teri baat hi mein tha

Aziz Qaisi

MORE BYAziz Qaisi

    Interesting Fact

    Gardbaad- Magazine

    uljhāo maza bhī tirī baat meñ thā

    terā javāb tire savālāt meñ thā

    saaya kisī makīñ bhī jis par na paḌ sakā

    vo ghar bhī shahr-e-dil ke mazāfāt meñ thā

    ilzām kyā hai ye bhī na jaanā tamām umr

    mulzim tamām umr havālāt meñ thā

    yāroñ ko inhirāf jis par rahā ġhurūr

    vo rāsta bhī dasht-e-rivāyāt meñ thā

    ab to faqat badan muravvat hai darmiyāñ

    thā rabt-e-jān-o-dil to shurūāt meñ thā

    mujh ko jo qatl kar ke manātā rahā hai jashn

    vo bad-nihād shaḳhs mirī zaat meñ thā

    uljhao ka maza bhi teri baat hi mein tha

    tera jawab tere sawalat hi mein tha

    saya kisi makin ka bhi jis par na paD saka

    wo ghar bhi shahr-e-dil ke mazafat hi mein tha

    ilzam kya hai ye bhi na jaana tamam umr

    mulzim tamam umr hawalat hi mein tha

    yaron ko inhiraf ka jis par raha ghurur

    wo rasta bhi dasht-e-riwayat hi mein tha

    ab to faqat badan ki murawwat hai darmiyan

    tha rabt-e-jaan-o-dil to shuruat hi mein tha

    mujh ko jo qatl kar ke manata raha hai jashn

    wo bad-nihad shaKHs meri zat hi mein tha

    Source:

    Sher-o-Hikmat (Pg. 862)

    • Author: Shahryar, Mughni, Tabassum
      • Edition: 2005
      • Publisher: Maktaba-e-Sher-O-Hikmat
      • Year of Publication: 2005
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now