aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

umud ho ke ufuq mein badal rahe hain sutun

Rauf Khalish

umud ho ke ufuq mein badal rahe hain sutun

Rauf Khalish

MORE BYRauf Khalish

    umuud ho ke ufuq meñ badal rahe haiñ sutūn

    dahal rahī hai imārat pighal rahe haiñ sutūn

    binā khokhlī Thahrī to kyā urūj-o-zavāl

    shikastagī alāmat meñ Dhal rahe haiñ sutūn

    chhateñ to gir ga.iiñ shahtīr ḳharābī se

    ye kis bojh uThā.e sambhal rahe haiñ sutūn

    havā ke ruḳh ne nayā marsiya likhā hai jahāñ

    bhaḌak uThī hai vahīñ aag jal rahe haiñ sutūn

    nidā hai kaisī zamīñ ai zamīñ ḳhabar to le

    ki band kamroñ sab raaz ugal rahe haiñ sutūn

    badalte lamhoñ ko ginte hue haiñ istāda

    nazar zāviya kahtā hai chal rahe haiñ sutūn

    umud ho ke ufuq mein badal rahe hain sutun

    dahal rahi hai imarat pighal rahe hain sutun

    bina hi khokhli Thahri to kya uruj-o-zawal

    shikastagi ki alamat mein Dhal rahe hain sutun

    chhaten to gir gain shahtir ki KHarabi se

    ye kis ka bojh uThae sambhal rahe hain sutun

    hawa ke ruKH ne naya marsiya likha hai jahan

    bhaDak uThi hai wahin aag jal rahe hain sutun

    nida hai kaisi zamin ai zamin KHabar to le

    ki band kamron ka sab raaz ugal rahe hain sutun

    badalte lamhon ko ginte hue hain istada

    nazar ka zawiya kahta hai chal rahe hain sutun

    Source:

    Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab (Pg. 645)

      • Edition: 1993
      • Publisher: Anjuman-e-Rooh-e-Adab, Allahabad
      • Year of Publication: 1993
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now