Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un buton se rabt toDa chahiye

Sardar Genda Singh Mashriqi

un buton se rabt toDa chahiye

Sardar Genda Singh Mashriqi

MORE BYSardar Genda Singh Mashriqi

    un butoñ se rabt toḌā chāhiye

    chāhiye ab un ko thoḌā chāhiye

    qahba-e-duniyā ko chhoḌā chāhiye

    rabt is luulī se toḌā chāhiye

    kis zabāñ se mohtasib ne kahā

    sāġhar-o-mīnā ko toḌā chāhiye

    ḳhanda-zan hai mastī-e-mai-ḳhvār par

    shīsha-e-sahbā ko toḌā chāhiye

    us bat-e-mai ne kiyā ham ko zalīl

    us gardan ko maroḌā chāhiye

    meñ hai sair-e-falak ko jaa.eñ ham

    bāda-e-gul-gūñ ghoḌā chāhiye

    hai ḳhirāmāñ naaz se mauj-e-nasīm

    nik.hat-e-gul ye ghoḌā chāhiye

    donoñ āñkheñ kyuuñ na hoñ dil ko aziiz

    āhuoñ mujh ko joḌā chāhiye

    gar nishān-e-manzil-e-jānāñ mile

    phir qadam pīchhe na moḌā chāhiye

    ek muddat meñ baḌhāyā ne rabt

    ab ghaTānā thoḌā thoḌā chāhiye

    zulmat-e-shab se hai zīnat maah

    zulf ko aariz pe chhoḌā chāhiye

    TuuTe dil ko momiyā-e-lutf se

    ho agar taufīq joḌā chāhiye

    kyuuñ shahīdoñ kafan hove safed

    un ke tan par laal joḌā chāhiye

    hai jo fikr-e-shāh aa.alī silsila

    ālam-e-ma.anī se joḌā chāhiye

    koh to tesha se TuuTā kohkan

    koshak-e-ḳhusrav bhī toḌā chāhiye

    paḌ ga.ī chakkar meñ kashtī nā-ḳhudā

    ab ḳhudā par is ko chhoḌā chāhiye

    gar samand-e-nāz par ho savār

    zulf hāthoñ meñ koḌā chāhiye

    khul gayā mujh se jo ik band-e-qabā

    bole us haath toḌā chāhiye

    us zulfoñ ko saperā dekh le

    gar use kāloñ joḌā chāhiye

    ganj-e-husn us hai ruḳh aur maar zulf

    ganj par kāloñ joḌā chāhiye

    bād-pā hai ablaq-e-chashm-e-siyāh

    kyā use kājal koḌā chāhiye

    mārtā bulbul ko hai kyuuñ bāġhbāñ

    kaan gul bhī maroḌā chāhiye

    hai chaman meñ āmad-e-fasl-e-bahār

    ab dar-e-zindāñ ko toḌā chāhiye

    hai bahār aa.ī qabā-e-gul se ab

    bulbuloñ ko laal joḌā chāhiye

    gul bhī un ko ḳhaar aate haiñ nazar

    hāsidoñ aañkh phoḌā chāhiye

    maiñ huuñ aasī muñh meñ mere vaqt-e-naz.a

    dāman-e-tar ko nichoḌā chāhiye

    rah chukā tan ke qafas meñ ye bahut

    ruuh ke taa.ir ko chhoḌā chāhiye

    ho agar na sar meñ saudā 'ishq

    phir use patthar se phoḌā chāhiye

    haath meñ ai gul-badan mehñdī lagā

    panja-e-marjāñ maroḌā chāhiye

    kaun mushkil hai jo āsāñ na ho

    dil meñ istiqlāl thoḌā chāhiye

    manzil-e-mulk-e-baqā meñ 'mashriqī'

    dāman-e-nānak na chhoḌā chāhiye

    un buton se rabt toDa chahiye

    chahiye ab un ko thoDa chahiye

    qahba-e-duniya ko chhoDa chahiye

    rabt is luli se toDa chahiye

    kis zaban se mohtasib tu ne kaha

    saghar-o-mina ko toDa chahiye

    KHanda-zan hai masti-e-mai-KHwar par

    shisha-e-sahba ko toDa chahiye

    us bat-e-mai ne kiya hum ko zalil

    us ki gardan ko maroDa chahiye

    ji mein hai sair-e-falak ko jaen hum

    baada-e-gul-gun ka ghoDa chahiye

    hai KHiraman naz se mauj-e-nasim

    nikhat-e-gul ka ye ghoDa chahiye

    donon aankhen kyun na hon dil ko aziz

    aahuon ka mujh ko joDa chahiye

    gar nishan-e-manzil-e-jaanan mile

    phir qadam pichhe na moDa chahiye

    ek muddat mein baDhaya tu ne rabt

    ab ghaTana thoDa thoDa chahiye

    zulmat-e-shab se hai zinat mah ki

    zulf ko aariz pe chhoDa chahiye

    TuTe dil ko momiya-e-lutf se

    ho agar taufiq joDa chahiye

    kyun shahidon ka kafan howe safed

    un ke tan par lal joDa chahiye

    hai jo fikr-e-shah aaali silsila

    aalam-e-mani se joDa chahiye

    koh to tesha se TuTa kohkan

    koshak-e-KHusraw bhi toDa chahiye

    paD gai chakkar mein kashti na-KHuda

    ab KHuda par is ko chhoDa chahiye

    gar samand-e-naz par tu ho sawar

    zulf ka hathon mein koDa chahiye

    khul gaya mujh se jo ek band-e-qaba

    bole us ka hath toDa chahiye

    us ki zulfon ko sapera dekh le

    gar use kalon ka joDa chahiye

    ganj-e-husn us ka hai ruKH aur mar zulf

    ganj par kalon ka joDa chahiye

    baad-pa hai ablaq-e-chashm-e-siyah

    kya use kajal ka koDa chahiye

    marta bulbul ko hai kyun baghban

    kan gul ka bhi maroDa chahiye

    hai chaman mein aamad-e-fasl-e-bahaar

    ab dar-e-zindan ko toDa chahiye

    hai bahaar aai qaba-e-gul se ab

    bulbulon ko lal joDa chahiye

    gul bhi un ko KHar aate hain nazar

    hasidon ki aankh phoDa chahiye

    main hun aasi munh mein mere waqt-e-naza

    daman-e-tar ko nichoDa chahiye

    rah chuka tan ke qafas mein ye bahut

    ruh ke tair ko chhoDa chahiye

    ho agar na sar mein sauda 'ishq ka

    phir use patthar se phoDa chahiye

    hath mein ai gul-badan mehndi laga

    panja-e-marjaan maroDa chahiye

    kaun si mushkil hai jo aasan na ho

    dil mein istiqlal thoDa chahiye

    manzil-e-mulk-e-baqa mein 'mashriqi'

    daman-e-nanak na chhoDa chahiye

    Source:

    Deewan-e-Mashriqi (Pg. e-254 p-258)

    • Author: Sardar Genda Singh Mashriqi
      • Edition: 1989
      • Publisher: Sardar Kulwant Singh
      • Year of Publication: 1989
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now