un ke daman mein KHushiyon ke ambar the
un ke dāman meñ ḳhushiyoñ ke ambār the
un bahāroñ ke ham bhī talabgār the
kyā shikāyat kareñ apnī taqdīr se
ham ko vo hī milā jis ke haqdār the
kuchh qadam hī chale haiñ mire saath vo
'umr bhar saath dene ke iqrār the
hañste hañste vatan pe fanā ho ga.e
maañ ke vo lāDle kitne dil-dār the
lag ga.ī hai zamāne kī un ko havā
ab se pahle kahāñ vo gunahgār the
pyaar karte the 'muktā' nibhāte bhī the
pahle ke log sach meñ vafādār the
un ke daman mein KHushiyon ke ambar the
un bahaaron ke hum bhi talabgar the
kya shikayat karen apni taqdir se
hum ko wo hi mila jis ke haqdar the
kuchh qadam hi chale hain mere sath wo
'umr bhar sath dene ke iqrar the
hanste hanste watan pe fana ho gae
man ke wo laDle kitne dil-dar the
lag gai hai zamane ki un ko hawa
ab se pahle kahan wo gunahgar the
pyar karte the 'mukta' nibhate bhi the
pahle ke log sach mein wafadar the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.