Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

un ko jo shughl-e-naz se fursat na ho saki

Hasrat Mohani

un ko jo shughl-e-naz se fursat na ho saki

Hasrat Mohani

MORE BYHasrat Mohani

    un ko jo shuġhl-e-nāz se fursat na ho sakī

    ham ne ye kah diyā ki mohabbat na ho sakī

    shukr-e-jafā bhī ahl-e-razā ne kiyā adā

    un se yahī nahīñ ki shikāyat na ho sakī

    shab ye haal hai ki tirī yaad ke sivā

    dil ko kisī ḳhayāl se rāhat na ho sakī

    pā-bos bhī ham ko ijāzat na de sake

    itnī bhī tum se qadr-e-mohabbat na ho sakī

    ġharq-e-surūr-o-sūr mujhe ke daf.atan

    nāseh se tark-e-mai nasīhat na ho sakī

    ḳhāmoshiyoñ rāz-e-mohabbat vo ga.e

    go ham se arz-e-hāl jur.at na ho sakī

    kar zabān-e-shauq ne sab sharh-e-ārzū

    alfāz meñ agarche sarāhat na ho sakī

    lutf-e-mazīd maiñ tamannā to kar sakā

    tum ye to kah sake ki qanā.at na ho sakī

    kyuuñ itnī jald ho ga.e ghabrā ke ham fanā

    ai dard-e-yār kuchh tirī ḳhidmat na ho sakī

    vaa.iz ko apne aib-e-riyā rahā ḳhayāl

    rindoñ saaf saaf mazammat na ho sakī

    arbāb-e-qāl haal pe ġhālib na aa sake

    zāhid se āshiqoñ imāmat na ho sakī

    aisā bhī kyā itaab ki saaqī bachī-kuchhī

    āḳhir meñ kuchh bhī ham ko ināyat na ho sakī

    un se maiñ apne dil taqāzā na kar sakā

    ye baat thī ḳhilāf-e-muravvat na ho sakī

    kyuuñ aa.e hosh meñ jo ibādat na kar sake

    pīr-e-muġhāñ ham se itā.at na ho sakī

    'hasrat' tirī nigāh-e-mohabbat ko kyā kahūñ

    mahfil meñ raat un se sharārat na ho sakī

    un ko jo shughl-e-naz se fursat na ho saki

    hum ne ye kah diya ki mohabbat na ho saki

    shukr-e-jafa bhi ahl-e-raza ne kiya ada

    un se yahi nahin ki shikayat na ho saki

    shab ka ye haal hai ki teri yaad ke siwa

    dil ko kisi KHayal se rahat na ho saki

    pa-bos ki bhi hum ko ijazat na de sake

    itni bhi tum se qadr-e-mohabbat na ho saki

    gharq-e-surur-o-sur mujhe pa ke dafatan

    naseh se tark-e-mai ki nasihat na ho saki

    KHamoshiyon ka raaz-e-mohabbat wo pa gae

    go hum se arz-e-haal ki jurat na ho saki

    kar di zaban-e-shauq ne sab sharh-e-arzu

    alfaz mein agarche sarahat na ho saki

    lutf-e-mazid ki main tamanna to kar saka

    tum ye to kah sake ki qanaat na ho saki

    kyun itni jald ho gae ghabra ke hum fana

    ai dard-e-yar kuchh teri KHidmat na ho saki

    waiz ko apne aib-e-riya ka raha KHayal

    rindon ki saf saf mazammat na ho saki

    arbab-e-qal haal pe ghaalib na aa sake

    zahid se aashiqon ki imamat na ho saki

    aisa bhi kya itab ki saqi bachi-kuchhi

    aaKHir mein kuchh bhi hum ko inayat na ho saki

    un se main apne dil ka taqaza na kar saka

    ye baat thi KHilaf-e-murawwat na ho saki

    kyun aae hosh mein jo ibaadat na kar sake

    pir-e-mughan ki hum se itaat na ho saki

    'hasrat' teri nigah-e-mohabbat ko kya kahun

    mahfil mein raat un se shararat na ho saki

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    un ko jo shughl-e-naz se fursat na ho saki Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now