Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ungli figar koi na KHun mein qalam hua

Farooq Engineer

ungli figar koi na KHun mein qalam hua

Farooq Engineer

MORE BYFarooq Engineer

    uñglī figār koī na ḳhuuñ meñ qalam huā

    kab ham se apne dard qissa raqam huā

    ro.e tamām umr magar is hunar ke saath

    aañsū palak pe aayā na kāġhaz nam huā

    ghar chhoḌ aa.e aap bhī achchhā kiyā huzūr

    ye to junūñ raah meñ pahlā qadam huā

    rah rah ke sar uThātī rahīñ kitnī ḳhvāhisheñ

    in bāġhiyoñ meñ sar bhī kisī qalam huā

    dekhā thā ḳhud ko maiñ ne tujhe dekhne ke ba.ad

    ye to gunāh mujh se ḳhudā qasam huā

    hai tarz-e-guftugū bhī vahī dost bhī vahī

    dushman to merī jaan merā bharam huā

    'fārūq' ab kisī se shikāyat kareñ to kyā

    ham ko apne hone ehsās kam huā

    ungli figar koi na KHun mein qalam hua

    kab hum se apne dard ka qissa raqam hua

    roe tamam umr magar is hunar ke sath

    aansu palak pe aaya na kaghaz hi nam hua

    ghar chhoD aae aap bhi achchha kiya huzur

    ye to junun ki rah mein pahla qadam hua

    rah rah ke sar uThati rahin kitni KHwahishen

    in baghiyon mein sar bhi kisi ka qalam hua

    dekha tha KHud ko main ne tujhe dekhne ke baad

    ye to gunah mujh se KHuda ki qasam hua

    hai tarz-e-guftugu bhi wahi dost bhi wahi

    dushman to meri jaan ka mera bharam hua

    'faruq' ab kisi se shikayat karen to kya

    hum ko hi apne hone ka ehsas kam hua

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now