Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us aankh se wahshat ki tasir uTha laya

Azm Bahzad

us aankh se wahshat ki tasir uTha laya

Azm Bahzad

MORE BYAzm Bahzad

    us aañkh se vahshat tāsīr uThā laayā

    maiñ jāgte rahne tadbīr uThā laayā

    maiñ nīyat-e-shab-ḳhūñ se ḳheme meñ gayā lekin

    dushman ke sirhāne se shamshīr uThā laayā

    vo sub.h-e-rihā.ī thī shām-e-asīrī thī

    jab maiñ dar-e-zindāñ se zanjīr uThā laayā

    āvāra-mizājī par harf aane se pahle

    dil tere taġhāful tasvīr uThā laayā

    ai ḳhvāb-e-pazīrā.ī kyuuñ mirī āñkhoñ meñ

    andesha-e-duniyā ta.abīr uThā laayā

    vo sañg-e-malāmat thā jis ko tirā dil kah kar

    us kūche se mujh jaisā rah-gīr uThā laayā

    us shaḳhs se maiñ sab ko ujlat meñ milā baiThā

    aur apne liye kaisī tāḳhīr uThā laayā

    maidān-e-shikāyat se kyā apne sivā laatā

    ik rañj thā maiñ jis ta.amīr uThā laayā

    us bazm-e-suḳhan meñ ham kyā pahuñche ki shor uTThā

    lo 'azm' koī zaḳhmī tahrīr uThā laayā

    us aankh se wahshat ki tasir uTha laya

    main jagte rahne ki tadbir uTha laya

    main niyat-e-shab-KHun se KHeme mein gaya lekin

    dushman ke sirhane se shamshir uTha laya

    wo subh-e-rihai thi ya sham-e-asiri thi

    jab main dar-e-zindan se zanjir uTha laya

    aawara-mizaji par harf aane se pahle hi

    dil tere taghaful ki taswir uTha laya

    ai KHwab-e-pazirai tu kyun meri aankhon mein

    andesha-e-duniya ki tabir uTha laya

    wo sang-e-malamat tha jis ko tera dil kah kar

    us kuche se mujh jaisa rah-gir uTha laya

    us shaKHs se main sab ko ujlat mein mila baiTha

    aur apne liye kaisi taKHir uTha laya

    maidan-e-shikayat se kya apne siwa lata

    ek ranj tha main jis ki tamir uTha laya

    us bazm-e-suKHan mein hum kya pahunche ki shor uTTha

    lo 'azm' koi zaKHmi tahrir uTha laya

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Azm Bahzad

    Azm Bahzad

    Azm Bahzad

    Azm Bahzad

    Source:

    Range-e-Gazal (Pg. 407)

    • Author: shahzaad ahmad
      • Edition: 1988
      • Publisher: Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore
      • Year of Publication: 1988
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now