Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

us baat ka koi ranj nahin hum uski tawajjoh pa na sake

Farhat Shahzad

us baat ka koi ranj nahin hum uski tawajjoh pa na sake

Farhat Shahzad

MORE BYFarhat Shahzad

    us baat koī rañj nahīñ ham us tavajjoh na sake

    afsos hameñ bas itnā hai ham dil haal chhupā na sake

    vo itnā achchhā hai us ko har koī apnā kahtā hai

    par ham kyuuñ apnā samjhe the ye baat use samjhā na sake

    ham aaj se pahle zaḳhmoñ par hañstī āñkhoñ se rote the

    is baar magar dukh aisā hai hañsnā to judā muskā na sake

    do lafz bayāñ kar dete haiñ ik umr apnī afsāna

    vo chhoḌ ke gulshan aa na sakā ham chhoḌ ke sahrā na sake

    dil ik ziddī bachche tarah 'shahzād' se bigḌā baiThā hai

    juz ik nārāz se patthar ke koī aur use bahlā na sake

    us baat ka koi ranj nahin hum us ki tawajjoh pa na sake

    afsos hamein bas itna hai hum dil ka haal chhupa na sake

    wo itna achchha hai us ko har koi apna kahta hai

    par hum kyun apna samjhe the ye baat use samjha na sake

    hum aaj se pahle zaKHmon par hansti aankhon se rote the

    is bar magar dukh aisa hai hansna to juda muska na sake

    do lafz bayan kar dete hain ek umr ka apni afsana

    wo chhoD ke gulshan aa na saka hum chhoD ke sahra ja na sake

    dil ek ziddi bachche ki tarah 'shahzad' se bigDa baiTha hai

    juz ek naraaz se patthar ke koi aur use bahla na sake

    Source:

    aa.iinaa jhuuTaa Hai (Pg. 151)

    • Author: FARHAT SHAHZAD
      • Edition: 2001
      • Publisher: Al-Hamd Publications
      • Year of Publication: 2001
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now