Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

uske partaw se hua hai zafrani rang ka

Obaid Siddiqi

uske partaw se hua hai zafrani rang ka

Obaid Siddiqi

MORE BYObaid Siddiqi

    us ke partav se huā hai zāfrānī rañg

    ā.īna to aaj bhī hai kahkashānī rañg

    hijr ke bādal chhaTe to vasl taqvīm meñ

    dil huvaidā ho rahā hai gulsitānī rañg

    pairahan us hai aisā jhalaktā hai badan

    ik parī-vash raqs meñ hai urġhuvānī rañg

    aaj shab ḳhaas hogī jab sunā.ūñgā use

    ek qissa apnā zaatī dāstānī rañg

    dostoñ mehrbānī se huā ye kaam bhī

    maiñ ne dekhā nahīñ thā ḳhuun paanī rañg

    gar diloñ se yuuñ dhuāñ uThtā rahegā raat din

    āsmāñ kaise bachegā āsmānī rañg

    haañ usī ne phuul Tāñke hoñge in ashjār par

    jis ne miTTī ko diyā hai jubba dhānī rañg

    us ke partaw se hua hai zafrani rang ka

    aaina to aaj bhi hai kahkashani rang ka

    hijr ke baadal chhaTe to wasl ki taqwim mein

    dil huwaida ho raha hai gulsitani rang ka

    pairahan us ka hai aisa ya jhalakta hai badan

    ek pari-wash raqs mein hai urghuwani rang ka

    aaj ki shab KHas hogi jab sunaunga use

    ek qissa apna zati dastani rang ka

    doston ki mehrbani se hua ye kaam bhi

    main ne dekha hi nahin tha KHun pani rang ka

    gar dilon se yun dhuan uThta rahega raat din

    aasman kaise bachega aasmani rang ka

    han usi ne phul Tanke honge in ashjar par

    jis ne miTTi ko diya hai jubba dhani rang ka

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Obaid Siddiqi

    Obaid Siddiqi

    RECITATIONS

    Obaid Siddiqi

    Obaid Siddiqi,

    Obaid Siddiqi

    uske partaw se hua hai zafrani rang ka Obaid Siddiqi

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now